tum se chhut kar zindagi ka naqsh-e-paa milta nahin | तुम से छुट कर ज़िंदगी का नक़्श-ए-पा मिलता नहीं - Akhtar Saeed Khan

tum se chhut kar zindagi ka naqsh-e-paa milta nahin
phir raha hoon koo-b-koo apna pata milta nahin

main hoon ya firta hai koi aur mere bhes mein
kis se poochoon koi soorat-aashna milta nahin

naqsh-e-hairat hi na tha pursaan-e-haal-e-gham bhi tha
tum ne jo toda hai ab vo aaina milta nahin

na-ummeedi harf-e-tohmat hi sahi kya kijie
tum qareeb aate nahin ho aur khuda milta nahin

us ke dil se apna andaaz-e-taghaful poochiye
jis ke dil ko dard ka bhi aasraa milta nahin

ik na ik rishta isee duniya se tha apna kabhi
sochta hoon aur koi silsila milta nahin

koi saaye ki tarah chalta hai akhtar saath saath
dostdaar-e-dil hai lekin barmala milta nahin

तुम से छुट कर ज़िंदगी का नक़्श-ए-पा मिलता नहीं
फिर रहा हूँ कू-ब-कू अपना पता मिलता नहीं

मैं हूँ या फिरता है कोई और मेरे भेस में
किस से पूछूँ कोई सूरत-आश्ना मिलता नहीं

नक़्श-ए-हैरत ही न था पुर्सान-ए-हाल-ए-ग़म भी था
तुम ने जो तोड़ा है अब वो आईना मिलता नहीं

ना-उमीदी हर्फ़-ए-तोहमत ही सही क्या कीजिए
तुम क़रीब आते नहीं हो और ख़ुदा मिलता नहीं

उस के दिल से अपना अंदाज़-ए-तग़ाफ़ुल पूछिए
जिस के दिल को दर्द का भी आसरा मिलता नहीं

इक न इक रिश्ता इसी दुनिया से था अपना कभी
सोचता हूँ और कोई सिलसिला मिलता नहीं

कोई साए की तरह चलता है 'अख़्तर' साथ साथ
दोस्तदार-ए-दिल है लेकिन बरमला मिलता नहीं

- Akhtar Saeed Khan
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari