jaan di kis ke liye ham ye bataayein kis ko
kaun kya bhool gaya yaad dilaayein kis ko
jurm ki tarah mohabbat ko chhupa rakha hai
ham gunahgaar nahin hain ye bataayein kis ko
rooth jaate to manana koi dushwaar na tha
vo ta'alluq hi na rakhen to manaae kis ko
kaun deta hai yahan khwaab-e-junoon ki ta'beer
khwaab ham apne sunaayein to sunaayein kis ko
koi pursaan-e-wafa hai na pasheemaan-e-jafaa
zakham ham apne dikhaayein to dikhaayein kis ko
chaak-e-dil chaak-e-garebaan to nahin hum-nafso
ham ye tasveer sar-e-bazm dikhaayein kis ko
kaun is shehar mein sunta hai fughan-e-durvish
apni aashufta-bayaani se rulaayein kis ko
ho gaya khaak rah-e-koo-e-malaamat akhtar
raah par laayein jo ahbaab to laayein kis ko
जान दी किस के लिए हम ये बताएँ किस को
कौन क्या भूल गया याद दिलाएँ किस को
जुर्म की तरह मोहब्बत को छुपा रक्खा है
हम गुनहगार नहीं हैं ये बताएँ किस को
रूठ जाते तो मनाना कोई दुश्वार न था
वो तअ'ल्लुक़ ही न रक्खें तो मनाएँ किस को
कौन देता है यहाँ ख़्वाब-ए-जुनूँ की ता'बीर
ख़्वाब हम अपने सुनाएँ तो सुनाएँ किस को
कोई पुरसान-ए-वफ़ा है न पशीमान-ए-जफ़ा
ज़ख़्म हम अपने दिखाएँ तो दिखाएँ किस को
चाक-ए-दिल चाक-ए-गरेबाँ तो नहीं हम-नफ़सो
हम ये तस्वीर सर-ए-बज़्म दिखाएँ किस को
कौन इस शहर में सुनता है फ़ुग़ान-ए-दुर्वेश
अपनी आशुफ़्ता-बयानी से रुलाएँ किस को
हो गया ख़ाक रह-ए-कू-ए-मलामत 'अख़्तर'
राह पर लाएँ जो अहबाब तो लाएँ किस को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Gaon Shayari Shayari