ik kiran mehr ki zulmaat pe bhari hogi | इक किरन मेहर की ज़ुल्मात पे भारी होगी

  - Akhtar Saeed Khan

ik kiran mehr ki zulmaat pe bhari hogi
raat un ki hai magar subh hamaari hogi

hum-safeeraan-e-chaman mil ke pukaare to zara
yahin khwaabida kahi baad-e-bahaari hogi

is taraf bhi koi khushboo se mahakta jhonka
ai saba tu ne to vo zulf sanwaari hogi

ye jo milti hai tire gham se gham-e-dehr ki shakl
dil ne tasveer se tasveer utaari hogi

boo-e-gul aati hai mitti se chaman ki jab tak
ham pe dahshat na khizaan ki kabhi taari hogi

इक किरन मेहर की ज़ुल्मात पे भारी होगी
रात उन की है मगर सुब्ह हमारी होगी

हम-सफ़ीरान-ए-चमन मिल के पुकारें तो ज़रा
यहीं ख़्वाबीदा कहीं बाद-ए-बहारी होगी

इस तरफ़ भी कोई ख़ुश्बू से महकता झोंका
ऐ सबा तू ने तो वो ज़ुल्फ़ सँवारी होगी

ये जो मिलती है तिरे ग़म से ग़म-ए-दहर की शक्ल
दिल ने तस्वीर से तस्वीर उतारी होगी

बू-ए-गुल आती है मिट्टी से चमन की जब तक
हम पे दहशत न ख़िज़ाँ की कभी तारी होगी

  - Akhtar Saeed Khan

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari