muddat se laapata hai khuda jaane kya hua
firta tha ek shakhs tumhein poochta hua
vo zindagi thi aap the ya koi khwaab tha
jo kuchh tha ek lamhe ko bas saamna hua
ham ne tire baghair bhi jee kar dikha diya
ab ye sawaal kya hai ki phir dil ka kya hua
so bhi vo tu na dekh saki ai hawa-e-dehr
seene mein ik charaagh rakha tha jala hua
duniya ko zid numaish-e-zakhm-e-jigar se thi
fariyaad main ne ki na zamaana khafa hua
har anjuman mein dhyaan usi anjuman ka hai
jaaga ho jaise khwaab koi dekhta hua
shaayad chaman mein jee na lage laut aaun main
sayyaad rakh qafas ka abhi dar khula hua
ye iztiraab-e-shauq hai akhtar ki gumrahi
main apne qafile se hoon koson badha hua
मुद्दत से लापता है ख़ुदा जाने क्या हुआ
फिरता था एक शख़्स तुम्हें पूछता हुआ
वो ज़िंदगी थी आप थे या कोई ख़्वाब था
जो कुछ था एक लम्हे को बस सामना हुआ
हम ने तिरे बग़ैर भी जी कर दिखा दिया
अब ये सवाल क्या है कि फिर दिल का क्या हुआ
सो भी वो तू न देख सकी ऐ हवा-ए-दहर
सीने में इक चराग़ रखा था जला हुआ
दुनिया को ज़िद नुमाइश-ए-ज़ख़्म-ए-जिगर से थी
फ़रियाद मैं ने की न ज़माना ख़फ़ा हुआ
हर अंजुमन में ध्यान उसी अंजुमन का है
जागा हो जैसे ख़्वाब कोई देखता हुआ
शायद चमन में जी न लगे लौट आऊँ मैं
सय्याद रख क़फ़स का अभी दर खुला हुआ
ये इज़्तिराब-ए-शौक़ है 'अख़्तर' कि गुमरही
मैं अपने क़ाफ़िले से हूँ कोसों बढ़ा हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Nature Shayari Shayari