nigaahen muntazir hain kis ki dil ko justuju kya hai | निगाहें मुंतज़िर हैं किस की दिल को जुस्तुजू क्या है

  - Akhtar Saeed Khan

nigaahen muntazir hain kis ki dil ko justuju kya hai
mujhe khud bhi nahin maaloom meri aarzoo kya hai

badalti ja rahi hai karvaton par karvatein duniya
kisi soorat nahin khulta jahaan-e-rang-o-boo kya hai

ye socha dil ko nazr-e-aarzoo karte hue ham ne
nigaah-e-husn-e-khud-aara mein dil ki aabroo kya hai

mujhe ab dekhti hai zindagi yun be-niyaazaana
ki jaise poochhti ho kaun ho tum justuju kya hai

hua karti hai dil se guftugoo be-khwab raaton mein
magar khulta nahin mujh par ki akhtar guftugoo kya hai

main in aankhon ko kya samjhoon ki apni khaana-veeraani
jinhen ye bhi nahin maaloom khoon-e-aarzoo kya hai

kiran suraj ki kahti hai phir aayegi shab-e-hijraan
sehar hoti hai akhtar so raho ye haav-hoo kya hai

निगाहें मुंतज़िर हैं किस की दिल को जुस्तुजू क्या है
मुझे ख़ुद भी नहीं मालूम मेरी आरज़ू क्या है

बदलती जा रही है करवटों पर करवटें दुनिया
किसी सूरत नहीं खुलता जहान-ए-रंग-ओ-बू क्या है

ये सोचा दिल को नज़्र-ए-आरज़ू करते हुए हम ने
निगाह-ए-हुस्न-ए-ख़ुद-आरा में दिल की आबरू क्या है

मुझे अब देखती है ज़िंदगी यूँ बे-नियाज़ाना
कि जैसे पूछती हो कौन हो तुम जुस्तुजू क्या है

हुआ करती है दिल से गुफ़्तुगू बे-ख़्वाब रातों में
मगर खुलता नहीं मुझ पर कि 'अख़्तर' गुफ़्तुगू क्या है

मैं इन आँखों को क्या समझूँ कि अपनी ख़ाना-वीरानी
जिन्हें ये भी नहीं मालूम ख़ून-ए-आरज़ू क्या है

किरन सूरज की कहती है फिर आएगी शब-ए-हिज्राँ
सहर होती है 'अख़्तर' सो रहो ये हाव-हू क्या है

  - Akhtar Saeed Khan

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari