phirti hai zindagi janaaza-b-dosh
but bhi chup hain khuda bhi hai khaamosh
koi meri tarah jiye to sahi
zindagi dar-guloo ajal bar-dosh
deedaani thi ye kaayenaat bahut
ham bhi kuchh din rahe kharaab-e-hosh
ghar se tauf-e-haram ko nikla tha
raah mein thi dukaan-e-badaa-farosh
ik ta'alluq qadam ko raah se hai
main na aawaara hoon na khaana-b-dosh
ham se ghaafil nahin hain ahl-e-sitam
ik zara thak ke ho gaye hain khamosh
jee mein hai koi aarzoo kijeye
ya'ni baaki hai sar mein masti hosh
hai ye duniya bahut wasi'a to ho
main hoon aur tera halka-e-aaghosh
dil ko rote kahaan talak akhtar
aakhir-kaar ho gaye khaamosh
फिरती है ज़िंदगी जनाज़ा-ब-दोश
बुत भी चुप हैं ख़ुदा भी है ख़ामोश
कोई मेरी तरह जिए तो सही
ज़िंदगी दर-गुलू अजल बर-दोश
दीदनी थी ये काएनात बहुत
हम भी कुछ दिन रहे ख़राब-ए-होश
घर से तौफ़-ए-हरम को निकला था
राह में थी दुकान-ए-बादा-फ़रोश
इक तअ'ल्लुक़ क़दम को राह से है
मैं न आवारा हूँ न ख़ाना-ब-दोश
हम से ग़ाफ़िल नहीं हैं अहल-ए-सितम
इक ज़रा थक के हो गए हैं ख़मोश
जी में है कोई आरज़ू कीजे
या'नी बाक़ी है सर में मस्ती होश
है ये दुनिया बहुत वसीअ' तो हो
मैं हूँ और तेरा हल्का-ए-आग़ोश
दिल को रोते कहाँ तलक 'अख़्तर'
आख़िर-कार हो गए ख़ामोश
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Dil Shayari Shayari