kaise samjhaaoon naseem-e-subh tujh ko kya hoon main | कैसे समझाऊँ नसीम-ए-सुब्ह तुझ को क्या हूँ मैं - Akhtar Saeed Khan

kaise samjhaaoon naseem-e-subh tujh ko kya hoon main
phool ke saaye mein murjhaya hua patta hoon main

khaak ka zarra bhi koi tere daaman mein na tha
qadr kar ai zindagi toota hua taara hoon main

har dhadakte dil se an-jaana sa rishta hai mera
aag daaman mein kisi ke bhi lage jalta hoon main

apni taarikee samete poochhti hai mujh se raat
kaun si hai subh jis ko dhoondne nikla hoon main

mujh ko samjhaaye to koi raazdaar-e-kaayenaat
mujh mein hai aabaad ye duniya ki khud apna hoon main

zindagi toote hue khwaabon mein guzri hai to kya
aaj bhi ik khwaab aankhon mein liye baitha hoon main

samt-e-manjil hi badal jaaye to mera kya qusoor
raaston se pooch kar dekho kahi thehra hoon main

der tak hasrat se dekhegi use shaam-e-safar
jis zameen par naqsh apne chhod kar guzra hoon main

chupke chupke raat bhar kehta hai akhtar mujh se dil
bastiyaan aabaad hain mujh se magar sehra hoon main

कैसे समझाऊँ नसीम-ए-सुब्ह तुझ को क्या हूँ मैं
फूल के साए में मुरझाया हुआ पत्ता हूँ मैं

ख़ाक का ज़र्रा भी कोई तेरे दामन में न था
क़द्र कर ऐ ज़िंदगी टूटा हुआ तारा हूँ मैं

हर धड़कते दिल से अन-जाना सा रिश्ता है मिरा
आग दामन में किसी के भी लगे जलता हूँ मैं

अपनी तारीकी समेटे पूछती है मुझ से रात
कौन सी है सुब्ह जिस को ढूँढने निकला हूँ मैं

मुझ को समझाए तो कोई राज़दार-ए-काएनात
मुझ में है आबाद ये दुनिया कि ख़ुद अपना हूँ मैं

ज़िंदगी टूटे हुए ख़्वाबों में गुज़री है तो क्या!
आज भी इक ख़्वाब आँखों में लिए बैठा हूँ मैं

सम्त-ए-मंज़िल ही बदल जाए तो मेरा क्या क़ुसूर
रास्तों से पूछ कर देखो कहीं ठहरा हूँ मैं

देर तक हसरत से देखेगी उसे शाम-ए-सफ़र
जिस ज़मीं पर नक़्श अपने छोड़ कर गुज़रा हूँ मैं

चुपके चुपके रात भर कहता है 'अख़्तर' मुझ से दिल
बस्तियाँ आबाद हैं मुझ से मगर सहरा हूँ मैं

- Akhtar Saeed Khan
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari