tiri jabeen pe meri subh ka sitaara hai | तिरी जबीं पे मिरी सुब्ह का सितारा है

  - Akhtar Saeed Khan

tiri jabeen pe meri subh ka sitaara hai
tira vujood meri zaat ka ujaala hai

hareef-e-partav-e-mehtaab hai jamaal tira
kuchh aur lagta hai dilkash jo door hota hai

mere yaqeen ki maasoomiyat ko mat toko
meri nigaah mein har naqsh ik tamasha hai

nazar to aaye koi raah zindagaani ki
tamaam aalam-e-imkaan ghubaar-e-sehra hai

na aarzoo se khula hai na justuju se khula
ye husn-e-raaz jo har shay mein kaar-farma hai

gham-e-hayaat raha hai hamaara gahvaara
ye ham se pooch dil-e-dard aashna kya hai

charaagh le ke use dhoondhne chala hoon main
jo aftaab ki maanind ik ujaala hai

jo ham ko bhool gaye un ko yaad kyun kijeye
tamaam raat koi chupke chupke kehta hai

kahaan kahaan liye phirti hai zindagi ab tak
main us jagah hoon jahaan dhoop hai na saaya hai

तिरी जबीं पे मिरी सुब्ह का सितारा है
तिरा वजूद मिरी ज़ात का उजाला है

हरीफ़-ए-परतव-ए-महताब है जमाल तिरा
कुछ और लगता है दिलकश जो दूर होता है

मिरे यक़ीन की मासूमियत को मत टोको
मिरी निगाह में हर नक़्श इक तमाशा है

नज़र तो आए कोई राह ज़िंदगानी की
तमाम आलम-ए-इम्काँ ग़ुबार-ए-सहरा है

न आरज़ू से खुला है न जुस्तुजू से खुला
ये हुस्न-ए-राज़ जो हर शय में कार-फ़रमा है

ग़म-ए-हयात रहा है हमारा गहवारा
ये हम से पूछ दिल-ए-दर्द आश्ना क्या है

चराग़ ले के उसे ढूँडने चला हूँ मैं
जो आफ़्ताब की मानिंद इक उजाला है

जो हम को भूल गए उन को याद क्यूँ कीजे
तमाम रात कोई चुपके चुपके कहता है

कहाँ कहाँ लिए फिरती है ज़िंदगी अब तक
मैं उस जगह हूँ जहाँ धूप है न साया है

  - Akhtar Saeed Khan

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari