lab-e-sukoot pe ik harf-e-be-nava bhi nahin | लब-ए-सुकूत पे इक हर्फ़-ए-बे-नवा भी नहीं

  - Akhtar Saeed Khan

lab-e-sukoot pe ik harf-e-be-nava bhi nahin
vo raat hai ki kisi ko sar-e-dua bhi nahin

khamosh rahiye to kya kya sadaaein aati hain
pukaariye to koi mud ke dekhta bhi nahin

jo dekhiye to jilau mein hain mehr-o-maah-o-nujoom
jo sochie to safar ki ye ibtida bhi nahin

qadam hazaar jiht-aashnaa sahi lekin
guzar gaya hoon jidhar se vo raasta bhi nahin

kisi ke tum ho kisi ka khuda hai duniya mein
mere naseeb mein tum bhi nahin khuda bhi nahin

ye kaisa khwaab hai pichhle pahar ke sannaato
bikhar gaya hai aur aankhon se chhoota bhi nahin

is izdihaam mein kya naam kya nishaan akhtar
mila vo hans ke magar mujh se aashna bhi nahin

लब-ए-सुकूत पे इक हर्फ़-ए-बे-नवा भी नहीं
वो रात है कि किसी को सर-ए-दुआ भी नहीं

ख़मोश रहिए तो क्या क्या सदाएँ आती हैं
पुकारिए तो कोई मुड़ के देखता भी नहीं

जो देखिए तो जिलौ में हैं मेहर-ओ-माह-ओ-नुजूम
जो सोचिए तो सफ़र की ये इब्तिदा भी नहीं

क़दम हज़ार जिहत-आश्ना सही लेकिन
गुज़र गया हूँ जिधर से वो रास्ता भी नहीं

किसी के तुम हो किसी का ख़ुदा है दुनिया में
मिरे नसीब में तुम भी नहीं ख़ुदा भी नहीं

ये कैसा ख़्वाब है पिछले पहर के सन्नाटो
बिखर गया है और आँखों से छूटता भी नहीं

इस इज़्दिहाम में क्या नाम क्या निशाँ 'अख़्तर'
मिला वो हँस के मगर मुझ से आश्ना भी नहीं

  - Akhtar Saeed Khan

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari