safar hi shart-e-safar hai to khatm kya hoga | सफ़र ही शर्त-ए-सफ़र है तो ख़त्म क्या होगा

  - Akhtar Saeed Khan

safar hi shart-e-safar hai to khatm kya hoga
tumhaare ghar se udhar bhi ye raasta hoga

zamaana sakht giran khwaab hai magar ai dil
pukaar to sahi koi to jaagta hoga

ye be-sabab nahin aaye hain aankh mein aansu
khushi ka lamha koi yaad aa gaya hoga

mera fasana har ik dil ka maajra to na tha
suna bhi hoga kisi ne to kya suna hoga

phir aaj shaam se paikaar jaan o tan mein hai
phir aaj dil ne kisi ko bhula diya hoga

vida kar mujhe ai zindagi gale mil ke
phir aisa dost na tujh se kabhi juda hoga

main khud se door hua ja raha hoon phir akhtar
vo phir qareeb se ho kar guzar gaya hoga

सफ़र ही शर्त-ए-सफ़र है तो ख़त्म क्या होगा
तुम्हारे घर से उधर भी ये रास्ता होगा

ज़माना सख़्त गिराँ ख़्वाब है मगर ऐ दिल
पुकार तो सही कोई तो जागता होगा

ये बे-सबब नहीं आए हैं आँख में आँसू
ख़ुशी का लम्हा कोई याद आ गया होगा

मिरा फ़साना हर इक दिल का माजरा तो न था
सुना भी होगा किसी ने तो क्या सुना होगा

फिर आज शाम से पैकार जान ओ तन में है
फिर आज दिल ने किसी को भुला दिया होगा

विदा कर मुझे ऐ ज़िंदगी गले मिल के
फिर ऐसा दोस्त न तुझ से कभी जुदा होगा

मैं ख़ुद से दूर हुआ जा रहा हूँ फिर 'अख़्तर'
वो फिर क़रीब से हो कर गुज़र गया होगा

  - Akhtar Saeed Khan

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Saeed Khan

As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Saeed Khan

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari