ye andhera jo ayaan subh ki tanveer mein hai
kuchh kami khoon-e-jigar ki abhi tasveer mein hai
ahl-e-taqdeer ne sar rakh diya jis ke aage
aaj vo uqda mere nakhoon-e-tadbeer mein hai
rang-e-gul rang-e-butaan rang-e-jabeen-e-mehnat
jo haseen rang hai shaamil meri tasveer mein hai
main ne jis khwaab ko aankhon mein basa rakha hai
tu bhi zalim mere us khwaab ki ta'beer mein hai
le udri mauj-e-bahaaraan ye alag hai warna
aaj bhi paanv mera khaana-e-zanjeer mein hai
vo mere poochne ko aaye hain sach-much akhtar
ya koi khwaab-e-haseen manzil-e-ta'beer mein hai
ये अंधेरा जो अयाँ सुब्ह की तनवीर में है
कुछ कमी ख़ून-ए-जिगर की अभी तस्वीर में है
अहल-ए-तक़दीर ने सर रख दिया जिस के आगे
आज वो उक़्दा मिरे नाख़ुन-ए-तदबीर में है
रंग-ए-गुल रंग-ए-बुताँ रंग-ए-जबीन-ए-मेहनत
जो हसीं रंग है शामिल मिरी तस्वीर में है
मैं ने जिस ख़्वाब को आँखों में बसा रक्खा है
तू भी ज़ालिम मिरे उस ख़्वाब की ता'बीर में है
ले उड़ी मौज-ए-बहाराँ ये अलग है वर्ना
आज भी पाँव मिरा ख़ाना-ए-ज़ंजीर में है
वो मिरे पूछने को आए हैं सच-मुच 'अख़्तर'
या कोई ख़्वाब-ए-हसीं मंज़िल-ए-ता'बीर में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Saeed Khan
our suggestion based on Akhtar Saeed Khan
As you were reading Tasweer Shayari Shayari