dil-e-deewana-o-andaaz bebaakaana rakhte hain | दिल-ए-दीवाना-ओ-अंदाज़ बेबाकाना रखते हैं - Akhtar Shirani

dil-e-deewana-o-andaaz bebaakaana rakhte hain
gadaa-e-may-kadaa hain waz'a aazaadaana rakhte hain

mujhe may-khaana tharrataa hua mehsoos hota hai
vo mere saamne sharma ke jab paimaana rakhte hain

ghataaein bhi to bahki ja rahi hain in adaaon par
chaman mein jo qadam rakhte hain vo mastaana rakhte hain

b-zaahir hum hain bulbul ki tarah mashhoor harjaai
magar dil mein gudaaz-e-fitrat-e-parwaana rakhte hain

jawaani bhi to ik mauj-e-sharaab-e-tund-o-rangeen hai
bura kya hai agar hum mashrab-e-rindaana rakhte hain

kisi maghroor ke aage hamaara sar nahin jhukta
faqiri mein bhi akhtar ghairat-e-shaahana rakhte hain

दिल-ए-दीवाना-ओ-अंदाज़ बेबाकाना रखते हैं
गदा-ए-मय-कदा हैं वज़्अ आज़ादाना रखते हैं

मुझे मय-ख़ाना थर्राता हुआ महसूस होता है
वो मेरे सामने शर्मा के जब पैमाना रखते हैं

घटाएँ भी तो बहकी जा रही हैं इन अदाओं पर
चमन में जो क़दम रखते हैं वो मस्ताना रखते हैं

ब-ज़ाहिर हम हैं बुलबुल की तरह मशहूर हरजाई
मगर दिल में गुदाज़-ए-फ़ितरत-ए-परवाना रखते हैं

जवानी भी तो इक मौज-ए-शराब-ए-तुंद-ओ-रंगीं है
बुरा क्या है अगर हम मशरब-ए-रिंदाना रखते हैं

किसी मग़रूर के आगे हमारा सर नहीं झुकता
फ़क़ीरी में भी 'अख़्तर' ग़ैरत-ए-शाहाना रखते हैं

- Akhtar Shirani
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari