har ek jalwa-e-rangeen meri nigaah mein hai | हर एक जल्वा-ए-रंगीं मिरी निगाह में है - Akhtar Shirani

har ek jalwa-e-rangeen meri nigaah mein hai
gham-e-firaq ki duniya dil-e-tabah mein hai

kisi ki yaad karam uf are maaz-allah
tabaah ho ke bhi zalim dil-e-tabah mein hai

hazaar pardo mein o chhupne waale ye sun le
tira jamaal mere daman-e-nigaah mein hai

jahaan mein mujh se bhi naakaam-e-aarzoo kam hain
na rang aah mein hai aur na soz aah mein hai

हर एक जल्वा-ए-रंगीं मिरी निगाह में है
ग़म-ए-फ़िराक़ की दुनिया दिल-ए-तबाह में है

किसी की याद करम उफ़ अरे मआज़-अल्लाह
तबाह हो के भी ज़ालिम दिल-ए-तबाह में है

हज़ार पर्दों में ओ छुपने वाले ये सुन ले
तिरा जमाल मिरे दामन-ए-निगाह में है

जहाँ में मुझ से भी नाकाम-ए-आरज़ू कम हैं
न रंग आह में है और न सोज़ आह में है

- Akhtar Shirani
0 Likes

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari