badi jaldi macha di usne kaarigar ka hone mein
abhi to waqt tha kaafi use patthar ka hone mein
use ye baat kehta bhi to aakhir kis tarah kehta
bada tha fark uske aur farmaish ka hone mein
rihaa to ho gaya main qaid se lekin in aankhon ko
zamaana lag gaya us khwaab se baahar ka hone mein
mujhe is baat ki naarazgi to hai ke vo mujhko
bhulaane lag gaya hai phir kisi bistar ka hone mein
naye raaste banenge aur naye jungle basar honge
nadi jis or jaayegi kisi saagar ka hone mein
बड़ी जल्दी मचा दी उसने कारीगर का होने में
अभी तो वक्त था काफ़ी उसे पत्थर का होने में
उसे ये बात कहता भी तो आख़िर किस तरह कहता
बड़ा था फ़र्क उसके और जादूगर का होने में
रिहा तो हो गया मैं क़ैद से लेकिन इन आँखों को
ज़माना लग गया उस ख़्वाब से बाहर का होने में
मुझे इस बात की नाराज़गी तो है के वो मुझको
भुलाने लग गया है फिर किसी बिस्तर का होने में
नए रस्ते बनेंगे और नए जंगल बसर होंगे
नदी जिस ओर जाएगी किसी सागर का होने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankit Yadav
our suggestion based on Ankit Yadav
As you were reading Waqt Shayari Shayari