mohabbat ka rag-o-pai mein meri rooh-e-ravaan hona | मोहब्बत का रग-ओ-पै में मिरी रूह-ए-रवाँ होना - Aleem Akhtar

mohabbat ka rag-o-pai mein meri rooh-e-ravaan hona
mubarak har nafs ko ik hayaat-e-jawedaan hona

hamaare dil ko aaye kis tarah phir shaadmaan hona
tiri nazaron ne seekha hi nahin jab meherbaan hona

tire kooche mein hona us pe tera aastaan hona
mubarak tere kooche ki zameen ko aasmaan hona

ye haalat hai ki bedaari bhi hai ik khwaab ka aalam
maaz-allah apna khuugar-e-khwaab-e-giraan hona

use khush kar sakengi kya bahaarein zindagaani ki
chaman mein jis ne dekha ho bahaaron ka khizaan hona

jo bad-qismat tire gham ki masarrat se hain na-waaqif
vo kya jaanen kise kahte hain dil ka shaadmaan hona

mujhe aankhen dikhaayegi bhala kya gardish-e-dauraan
meri nazaron ne dekha hai tira na-mehrabaan hona

jabeen o aastaan ke darmiyaan sajde hon kyun haa'il
jabeen ko ho mayassar kaash jazb-e-aastaan hona

havas-kaaraan-e-ishrat aah kya samjhenge ai akhtar
bahut dushwaar hai zauq-e-alam ka raaz-daan hona

मोहब्बत का रग-ओ-पै में मिरी रूह-ए-रवाँ होना
मुबारक हर नफ़स को इक हयात-ए-जावेदाँ होना

हमारे दिल को आए किस तरह फिर शादमाँ होना
तिरी नज़रों ने सीखा ही नहीं जब मेहरबाँ होना

तिरे कूचे में होना उस पे तेरा आस्ताँ होना
मुबारक तेरे कूचे की ज़मीं को आसमाँ होना

ये हालत है कि बेदारी भी है इक ख़्वाब का आलम
मआज़-अल्लाह अपना ख़ूगर-ए-ख़्वाब-ए-गिराँ होना

उसे ख़ुश कर सकेंगी क्या बहारें ज़िंदगानी की
चमन में जिस ने देखा हो बहारों का ख़िज़ाँ होना

जो बद-क़िस्मत तिरे ग़म की मसर्रत से हैं ना-वाक़िफ़
वो क्या जानें किसे कहते हैं दिल का शादमाँ होना

मुझे आँखें दिखाएगी भला क्या गर्दिश-ए-दौराँ
मिरी नज़रों ने देखा है तिरा ना-मेहरबाँ होना

जबीं ओ आस्ताँ के दरमियाँ सज्दे हों क्यूँ हाइल
जबीं को हो मयस्सर काश जज़्ब-ए-आस्ताँ होना

हवस-कारान-ए-इशरत आह क्या समझेंगे ऐ 'अख़्तर'
बहुत दुश्वार है ज़ौक़-ए-अलम का राज़-दाँ होना

- Aleem Akhtar
0 Likes

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleem Akhtar

As you were reading Shayari by Aleem Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Aleem Akhtar

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari