tu agar dil-nawaz ho jaaye
soz ham-rang-e-saaz ho jaaye
dil jo aagaah-e-raaz ho jaaye
har haqeeqat majaaz ho jaaye
lazzat-e-gham ka ye taqaza hai
muddat-e-gham daraaz ho jaaye
naghma-e-ishq chhedta hoon main
zindagi nai-navaaz ho jaaye
us ki bigdi bane na kyun ai ishq
jis ka tu kaarsaaz ho jaaye
husn maghroor hai magar tauba
ishq agar be-niyaaz ho jaaye
dard ka phir maza hai jab akhtar
dard khud chaarasaaz ho jaaye
तू अगर दिल-नवाज़ हो जाए
सोज़ हम-रंग-ए-साज़ हो जाए
दिल जो आगाह-ए-राज़ हो जाए
हर हक़ीक़त मजाज़ हो जाए
लज़्ज़त-ए-ग़म का ये तक़ाज़ा है
मुद्दत-ए-ग़म दराज़ हो जाए
नग़्मा-ए-इश्क़ छेड़ता हूँ मैं
ज़िंदगी नै-नवाज़ हो जाए
उस की बिगड़ी बने न क्यूँ ऐ इश्क़
जिस का तू कारसाज़ हो जाए
हुस्न मग़रूर है मगर तौबा
इश्क़ अगर बे-नियाज़ हो जाए
दर्द का फिर मज़ा है जब 'अख़्तर'
दर्द ख़ुद चारासाज़ हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aleem Akhtar
our suggestion based on Aleem Akhtar
As you were reading Dard Shayari Shayari