dard badh kar dava na ho jaaye | दर्द बढ़ कर दवा न हो जाए

  - Aleem Akhtar

dard badh kar dava na ho jaaye
zindagi be-maza na ho jaaye

in talwvun-mizaajiyon ka shikaar
koi mere siva na ho jaaye

lazzat-e-intizaar hi na rahe
kahi vaada wafa na ho jaaye

teri raftaar ai maaz-allah
hashr koi bapaa na ho jaaye

kaamyaabi hi kaamyaabi ho
to ye banda khuda na ho jaaye

meri betaabiyon se ghabra kar
koi mujh se khafa na ho jaaye

kuchh to andaaza-e-jafaa kijie
dil sitam-aashna na ho jaaye

kahi nakaami-e-asar aakhir
muddaa-e-dua na ho jaaye

vo nigaahen na fer len akhtar
ishq be-aasra na ho jaaye

दर्द बढ़ कर दवा न हो जाए
ज़िंदगी बे-मज़ा न हो जाए

इन तलव्वुन-मिज़ाजियों का शिकार
कोई मेरे सिवा न हो जाए

लज़्ज़त-ए-इंतिज़ार ही न रहे
कहीं वादा वफ़ा न हो जाए

तेरी रफ़्तार ऐ मआज़-अल्लाह
हश्र कोई बपा न हो जाए

कामयाबी ही कामयाबी हो
तो ये बंदा ख़ुदा न हो जाए

मेरी बेताबियों से घबरा कर
कोई मुझ से ख़फ़ा न हो जाए

कुछ तो अंदाज़ा-ए-जफ़ा कीजिए
दिल सितम-आश्ना न हो जाए

कहीं नाकामी-ए-असर आख़िर
मुद्दआ-ए-दुआ न हो जाए

वो निगाहें न फेर लें 'अख़्तर'
इश्क़ बे-आसरा न हो जाए

  - Aleem Akhtar

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aleem Akhtar

As you were reading Shayari by Aleem Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Aleem Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari