tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho
ta sar-e-daar pahunchne ka sahaara bhi to ho
shikwa o tanj se bhi kaam nikal jaate hain
ghairat-e-ishq ko lekin ye gawara bhi to ho
may-kashon mein na sahi tishna-labon mein hi sahi
koi gosha tiri mehfil mein hamaara bhi to ho
kis taraf mod den tooti hui kashti apni
aise toofaan mein kahi koi kinaara bhi to ho
hai gham-e-ishq mein ik lazzat-e-javed magar
is gham-e-dehr se ai dil koi chaara bhi to ho
may-kade bhar pe tira haq hai magar peer-e-mugaan
ik kisi cheez pe rindon ka ijaara bhi to ho
ashk-e-khoonin se jo seeche the biyaabaan ham ne
un mein ab lala o nasreen ka nazaara bhi to ho
jaam ubal padte hain may lutti hai khum tootte hain
nigah-e-naaz ka dar-parda ishaara bhi to ho
pee to luun aankhon mein umde hue aansu lekin
dil pe qaabu bhi to ho zabt ka yaara bhi to ho
aap is vaadi-e-veeraan mein kahaan aa pahunchen
main gunahgaar magar main ne pukaara bhi to ho
तेरे हल्के से तबस्सुम का इशारा भी तो हो
ता सर-ए-दार पहुँचने का सहारा भी तो हो
शिकवा ओ तंज़ से भी काम निकल जाते हैं
ग़ैरत-ए-इश्क़ को लेकिन ये गवारा भी तो हो
मय-कशों में न सही तिश्ना-लबों में ही सही
कोई गोशा तिरी महफ़िल में हमारा भी तो हो
किस तरफ़ मोड़ दें टूटी हुई कश्ती अपनी
ऐसे तूफ़ाँ में कहीं कोई किनारा भी तो हो
है ग़म-ए-इश्क़ में इक लज़्ज़त-ए-जावेद मगर
इस ग़म-ए-दहर से ऐ दिल कोई चारा भी तो हो
मय-कदे भर पे तिरा हक़ है मगर पीर-ए-मुग़ाँ
इक किसी चीज़ पे रिंदों का इजारा भी तो हो
अश्क-ए-ख़ूनीं से जो सींचे थे बयाबाँ हम ने
उन में अब लाला ओ नस्रीं का नज़ारा भी तो हो
जाम उबल पड़ते हैं मय लुटती है ख़ुम टूटते हैं
निगह-ए-नाज़ का दर-पर्दा इशारा भी तो हो
पी तो लूँ आँखों में उमडे हुए आँसू लेकिन
दिल पे क़ाबू भी तो हो ज़ब्त का यारा भी तो हो
आप इस वादी-ए-वीराँ में कहाँ आ पहुँचे
मैं गुनहगार मगर मैं ने पुकारा भी तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading Sharaab Shayari Shayari