dabii awaaz mein karti thi kal shikwe zameen mujh se | दबी आवाज़ में करती थी कल शिकवे ज़मीं मुझ से

  - Ali Jawwad Zaidi

dabii awaaz mein karti thi kal shikwe zameen mujh se
ki zulm o jor ka ye bojh uth saka nahin mujh se

agar ye kashmakash baaki rahi jahal o tamaddun ki
zamaana cheen lega daulat-e-ilm-o-yaqeen mujh se

tumheen se kya chhupaana hai tumhaari hi to baatein hain
jo kahti hai tamannaa ki nigaah-e-waapsi mujh se

nigaahen chaar hote hi bhala kya hashr uth jaata
yaqeenan is se pehle bhi mile hain vo kahi mujh se

dikha di main ne vo manzil jo in dono ke aage hai
pareshaan hain ki aakhir ab kahein kya kufr o deen mujh se

ye maana zarra-e-aawaara-e-dasht-e-wafa hoon main
nibhaana hi padega tujh ko duniya-e-haseen mujh se

sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mehsoos hota hai
ki laakhon laghzishein har gaam par hoti raheen mujh se

udhar saari tamannaon ka markaz aastaan un ka
idhar barham tamannaa par meri sarkash jabeen mujh se

दबी आवाज़ में करती थी कल शिकवे ज़मीं मुझ से
कि ज़ुल्म ओ जौर का ये बोझ उठ सकता नहीं मुझ से

अगर ये कशमकश बाक़ी रही जहल ओ तमद्दुन की
ज़माना छीन लेगा दौलत-ए-इल्म-ओ-यक़ीं मुझ से

तुम्हीं से क्या छुपाना है तुम्हारी ही तो बातें हैं
जो कहती है तमन्ना की निगाह-ए-वापसीं मुझ से

निगाहें चार होते ही भला क्या हश्र उठ जाता
यक़ीनन इस से पहले भी मिले हैं वो कहीं मुझ से

दिखा दी मैं ने वो मंज़िल जो इन दोनों के आगे है
परेशाँ हैं कि आख़िर अब कहें क्या कुफ़्र ओ दीं मुझ से

ये माना ज़र्रा-ए-आवारा-ए-दश्त-ए-वफ़ा हूँ मैं
निभाना ही पड़ेगा तुझ को दुनिया-ए-हसीं मुझ से

सर-ए-मंज़िल पहुँच कर आज ये महसूस होता है
कि लाखों लग़्ज़िशें हर गाम पर होती रहीं मुझ से

उधर सारी तमन्नाओं का मरकज़ आस्ताँ उन का
इधर बरहम तमन्ना पर मिरी सरकश जबीं मुझ से

  - Ali Jawwad Zaidi

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari