deen o dil pehli hi manzil mein yahan kaam aaye
aur ham raah-e-wafa mein koi do gaam aaye
tum kaho ahl-e-khirad ishq mein kya kya beeti
ham to is raah mein na-waaqif-e-anjaam aaye
lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsaas mili
kaun kehta hai ham us bazm se naakaam aaye
vo bhi kya din the ki ik qatra-e-may bhi na mila
aaj aaye to kai baar kai jaam aaye
ik haseen yaad se waabasta hain laakhon yaadein
ashk umand aate hain jab lab pe tira naam aaye
si liye hont magar dil mein khalish rahti hai
is khamoshi ka kahi un pe na ilzaam aaye
chand deewaanon se raushan thi gali ulfat ki
warna faanoos to laakhon hi sar-e-baam aaye
ye bhi badle hue haalaat ka partav hai ki vo
khalwat-e-khaas se ta jalwa-gah-e-aam aaye
ho ke mayus main paimaana bhi jab tod chuka
chashm-e-saaqi se piya pe kai paighaam aaye
shehar mein pehle se badnaam the yun bhi zaidi
ho ke may-khaane se kuchh aur bhi badnaam aaye
दीन ओ दिल पहली ही मंज़िल में यहाँ काम आए
और हम राह-ए-वफ़ा में कोई दो गाम आए
तुम कहो अहल-ए-ख़िरद इश्क़ में क्या क्या बीती
हम तो इस राह में ना-वाक़िफ़-ए-अंजाम आए
लज़्ज़त-ए-दर्द मिली इशरत-ए-एहसास मिली
कौन कहता है हम उस बज़्म से नाकाम आए
वो भी क्या दिन थे कि इक क़तरा-ए-मय भी न मिला
आज आए तो कई बार कई जाम आए
इक हसीं याद से वाबस्ता हैं लाखों यादें
अश्क उमँड आते हैं जब लब पे तिरा नाम आए
सी लिए होंट मगर दिल में ख़लिश रहती है
इस ख़मोशी का कहीं उन पे न इल्ज़ाम आए
चंद दीवानों से रौशन थी गली उल्फ़त की
वर्ना फ़ानूस तो लाखों ही सर-ए-बाम आए
ये भी बदले हुए हालात का परतव है कि वो
ख़ल्वत-ए-ख़ास से ता जल्वा-गह-ए-आम आए
हो के मायूस मैं पैमाना भी जब तोड़ चुका
चश्म-ए-साक़ी से पिया पे कई पैग़ाम आए
शहर में पहले से बदनाम थे यूँ भी 'ज़ैदी'
हो के मय-ख़ाने से कुछ और भी बदनाम आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading Gaon Shayari Shayari