aish hi aish hai na sab gham hai
zindagi ik haseen sangam hai
jaam mein hai jo mishal-e-gul-rang
teri aankhon ka aks-e-mubaham hai
ai gham-e-dehr ke giriftaaro
aish bhi sarnavisht-e-aadam hai
nok-e-mizgaan pe yaad ka aansu
mausam-e-gul ki sard shabnam hai
dard-e-dil mein kami hui hai kahi
tum ne poocha to kah diya kam hai
mitati jaati hai banti jaati hai
zindagi ka ajeeb aalam hai
ik zara muskuraa ke bhi dekhen
gham to ye roz roz ka gham hai
poochne waale shukriya tera
dard to ab bhi hai magar kam hai
kah raha tha main apna afsaana
kyun tira daaman-e-miza nam hai
gham ki tareekiyo mein ai zaidi
raushni vo bhi hai jo madhham hai
ऐश ही ऐश है न सब ग़म है
ज़िंदगी इक हसीन संगम है
जाम में है जो मिशअल-ए-गुल-रंग
तेरी आँखों का अक्स-ए-मुबहम है
ऐ ग़म-ए-दहर के गिरफ़्तारो
ऐश भी सरनविश्त-ए-आदम है
नोक-ए-मिज़्गाँ पे याद का आँसू
मौसम-ए-गुल की सर्द शबनम है
दर्द-ए-दिल में कमी हुई है कहीं
तुम ने पूछा तो कह दिया कम है
मिटती जाती है बनती जाती है
ज़िंदगी का अजीब आलम है
इक ज़रा मुस्कुरा के भी देखें
ग़म तो ये रोज़ रोज़ का ग़म है
पूछने वाले शुक्रिया तेरा
दर्द तो अब भी है मगर कम है
कह रहा था मैं अपना अफ़्साना
क्यूँ तिरा दामन-ए-मिज़ा नम है
ग़म की तारीकियों में ऐ 'ज़ैदी'
रौशनी वो भी है जो मद्धम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading Charagh Shayari Shayari