hai wahi maarka-e-neki-o-shar mere ba'ad | है वही मार्का-ए-नेकी-ओ-शर मेरे बा'द

  - Ali Jawwad Zaidi

hai wahi maarka-e-neki-o-shar mere ba'ad
tham na jaayen kahi yaaraan-e-safar mere ba'ad

kam hain aise jo karein arz-e-hunar mere ba'ad
aaj ghumnak se hain ahl-e-nazar mere ba'ad

chand sa'at ke liye ruk bhi gaya ro bhi liya
kaarwaan phir bhi hai sargarm-e-safar mere ba'ad

jazb theen jis mein mere khoon-e-wafa ki chheentein
ban gaya sajda-gah-e-khalq vo dar mere ba'ad

hijr ki raat larzata hi raha palkon par
qatra-e-ashk bana nazm-e-sehr mere ba'ad

shaayad ai dost tamaashaon ke hangaamon mein
yaad aaye meri mohtaath nazar mere ba'ad

aaj anjaan bano bhool bhi jaao lekin
kya karoge meri yaad aaye agar mere ba'ad

kyun bichaate ho meri raah mein kaante yaaro
khair jaari se badal jaayega shar mere ba'ad

ab bhi shor-e-qadam-e-raah-ravan hai to wahi
phir bhi sooni hai tiri raahguzar mere ba'ad

kya koi aur banata tha nasheeman apna
phir usi shaakh pe hai raqs-e-sharar mere ba'ad

ik meri yaad ki mash'al ke siva kuchh bhi na ho
raat is tarah se bhi hogi basar mere ba'ad

ye tamvuj ye talaatum ye shahaadat ye shuhood
khatm hai manzil-e-awwal ka safar mere ba'ad

ashk aankhon mein bhare us ne bhi dekha zaidi
aaj mehfil ko b-andaaz-e-digar mere ba'ad

है वही मार्का-ए-नेकी-ओ-शर मेरे बा'द
थम न जाएँ कहीं यारान-ए-सफ़र मेरे बा'द

कम हैं ऐसे जो करें अर्ज़-ए-हुनर मेरे बा'द
आज ग़मनाक से हैं अहल-ए-नज़र मेरे बा'द

चंद साअ'त के लिए रुक भी गया रो भी लिया
कारवाँ फिर भी है सरगर्म-ए-सफ़र मेरे बा'द

जज़्ब थीं जिस में मिरे ख़ून-ए-वफ़ा की छींटें
बन गया सज्दा-गह-ए-ख़ल्क़ वो दर मेरे बा'द

हिज्र की रात लरज़ता ही रहा पलकों पर
क़तरा-ए-अश्क बना नज्म-ए-सहर मेरे बा'द

शायद ऐ दोस्त तमाशाओं के हंगामों में
याद आए मिरी मोहतात नज़र मेरे बा'द

आज अंजान बनो भूल भी जाओ लेकिन
क्या करोगे मिरी याद आए अगर मेरे बा'द

क्यूँ बिछाते हो मिरी राह में काँटे यारो
ख़ैर जारी से बदल जाएगा शर मेरे बा'द

अब भी शोर-ए-क़दम-ए-राह-रवाँ है तो वही
फिर भी सूनी है तिरी राहगुज़र मेरे बा'द

क्या कोई और बनाता था नशेमन अपना
फिर उसी शाख़ पे है रक़्स-ए-शरर मेरे बा'द

इक मिरी याद की मशअ'ल के सिवा कुछ भी न हो
रात इस तरह से भी होगी बसर मेरे बा'द

ये तमव्वुज ये तलातुम ये शहादत ये शुहूद
ख़त्म है मंज़िल-ए-अव्वल का सफ़र मेरे बा'द

अश्क आँखों में भरे उस ने भी देखा 'ज़ैदी'
आज महफ़िल को ब-अंदाज़-ए-दिगर मेरे बा'द

  - Ali Jawwad Zaidi

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari