aisi tanhaai hai apne se bhi ghabraata hoon main
jal rahi hain yaad ki shamaein bujha jaata hoon main
aa gai aakhir gham-e-dil vo bhi manzil aa gai
mujh ko samjhaate the jo ab un ko samjhaata hoon main
zindagi aazaada-rau bahr-e-haqeeqat be-kinaar
mauj aati hai to badhta hi chala jaata hoon main
bazm-e-fikr-o-hosh ho ya mahfil-e-aish-o-nishaat
har jagah se chand nashtar chand gham laata hoon main
zehan mein yaadon ke gulshan dil mein azm-e-joo-e-sheer
ik naya farhaad paata hoon jidhar jaata hoon main
shab ke sannaate mein rah ghairoon ke nagme ki tarah
ahl-e-dil ki bastiyon mein aah ban jaata hoon main
himmat-afza hai har ik uftaad raah-e-ishq ki
thokren khaata hoon girta hoon sambhal jaata hoon main
ishq akshar maangata hai naghma-e-ishrat ki bheek
ahl-e-duniya ki tahee-dasti pe sharmaata hoon main
shaam-e-tanhaai bujha do jhilmilaati sham'a bhi
in andheron hi mein akshar raushni paata hoon main
aaj aaghosh-e-tamanna thi shanaasa-e-visaal
razm-gaah-e-zindagi mein taaza-dam aata hoon main
koi naazuk haath baazu thaam leta hai mera
thokren khaata to hoon lekin sambhal jaata hoon main
apne mitne ka bhi gham hota hai is ehsaas se
main nahin apna magar tera to kahlaata hoon main
hai suhaani kis qadar un dooriyon ki chaandni
pooch leta hai koi zaidi to itraata hoon main
ऐसी तन्हाई है अपने से भी घबराता हूँ मैं
जल रही हैं याद की शमएँ बुझा जाता हूँ मैं
आ गई आख़िर ग़म-ए-दिल वो भी मंज़िल आ गई
मुझ को समझाते थे जो अब उन को समझाता हूँ मैं
ज़िंदगी आज़ादा-रौ बहर-ए-हक़ीक़त बे-कनार
मौज आती है तो बढ़ता ही चला जाता हूँ मैं
बज़्म-ए-फ़िक्र-ओ-होश हो या महफ़िल-ए-ऐश-ओ-निशात
हर जगह से चंद नश्तर चंद ग़म लाता हूँ मैं
ज़ेहन में यादों के गुलशन दिल में अज़्म-ए-जू-ए-शीर
इक नया फ़रहाद पाता हूँ जिधर जाता हूँ मैं
शब के सन्नाटे में रह ग़ैरों के नग़्मे की तरह
अहल-ए-दिल की बस्तियों में आह बन जाता हूँ मैं
हिम्मत-अफ़ज़ा है हर इक उफ़्ताद राह-ए-इश्क़ की
ठोकरें खाता हूँ गिरता हूँ सँभल जाता हूँ मैं
इश्क़ अक्सर माँगता है नग़्मा-ए-इशरत की भीक
अहल-ए-दुनिया की तही-दस्ती पे शरमाता हूँ मैं
शाम-ए-तन्हाई बुझा दो झिलमिलाती शम्अ' भी
इन अँधेरों ही में अक्सर रौशनी पाता हूँ मैं
आज आग़ोश-ए-तमन्ना थी शनासा-ए-विसाल
रज़्म-गाह-ए-ज़िंदगी में ताज़ा-दम आता हूँ मैं
कोई नाज़ुक हाथ बाज़ू थाम लेता है मिरा
ठोकरें खाता तो हूँ लेकिन सँभल जाता हूँ मैं
अपने मिटने का भी ग़म होता है इस एहसास से
मैं नहीं अपना मगर तेरा तो कहलाता हूँ मैं
है सुहानी किस क़दर उन दूरियों की चाँदनी
पूछ लेता है कोई 'ज़ैदी' तो इतराता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading I love you Shayari Shayari