zulmat-kadon mein kal jo shua-e-sehar gai | ज़ुल्मत-कदों में कल जो शुआ-ए-सहर गई

  - Ali Jawwad Zaidi

zulmat-kadon mein kal jo shua-e-sehar gai
taarikee-e-hayaat yakaayak ubhar gai

nazzaara-e-jamaal ki furqat kahaan mili
pehli nazar nazar ki hadon se guzar gai

izhaar-e-iltifaat ke baad un ki be-rukhi
ik rang aur naqsh-e-tamanna mein bhar gai

zauq-e-junoon o jazba-e-bebaak kya mile
veeraan ho ke bhi meri duniya sanwar gai

ab daur-e-kaarsaazi-e-vahshat nahin raha
ab aarzoo-e-lazzat-e-raqs-e-sharar gai

ik daagh bhi jabeen pe meri aa gaya to kya
shokhi to un ke naqsh-e-qadam ki ubhar gai

taare se jhilmilaate hain mizgaan-e-yaar par
shaayad nigaah-e-yaas bhi kuchh kaam kar gai

tum ne to ik karam hi kiya haal pooch kar
ab jo guzar gai mere dil par guzar gai

jalwe hue jo aam to taab-e-nazar na thi
parde pade hue the jahaan tak nazar gai

saara qusoor us nigah-e-fitna-joo ka tha
lekin bala nigah-e-tamanna ke sar gai

ज़ुल्मत-कदों में कल जो शुआ-ए-सहर गई
तारीकी-ए-हयात यकायक उभर गई

नज़्ज़ारा-ए-जमाल की फ़ुर्सत कहाँ मिली
पहली नज़र नज़र की हदों से गुज़र गई

इज़हार-ए-इल्तिफ़ात के बाद उन की बे-रुख़ी
इक रंग और नक़्श-ए-तमन्ना में भर गई

ज़ौक़-ए-जुनूँ ओ जज़्बा-ए-बेबाक क्या मिले
वीरान हो के भी मिरी दुनिया सँवर गई

अब दौर-ए-कारसाज़ी-ए-वहशत नहीं रहा
अब आरज़ू-ए-लज्ज़त-ए-रक़्स-ए-शरर गई

इक दाग़ भी जबीं पे मेरी आ गया तो क्या
शोख़ी तो उन के नक़्श-ए-क़दम की उभर गई

तारे से झिलमिलाते हैं मिज़्गान-ए-यार पर
शायद निगाह-ए-यास भी कुछ काम कर गई

तुम ने तो इक करम ही किया हाल पूछ कर
अब जो गुज़र गई मिरे दिल पर गुज़र गई

जल्वे हुए जो आम तो ताब-ए-नज़र न थी
पर्दे पड़े हुए थे जहाँ तक नज़र गई

सारा क़ुसूर उस निगह-ए-फ़ित्ना-जू का था
लेकिन बला निगाह-ए-तमन्ना के सर गई

  - Ali Jawwad Zaidi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari