hujoom-e-aish-o-tarab mein bhi hai bashar tanhaa | हुजूम-ए-ऐश-ओ-तरब में भी है बशर तन्हा - Ali Jawwad Zaidi

hujoom-e-aish-o-tarab mein bhi hai bashar tanhaa
nafs nafs hai muhaajir nazar nazar tanhaa

ye mera aks hai aaine mein ki dushman hai
udaas tishna-sitam deeda-e-be-khabar tanhaa

ye qatl-gaah bhi hai baal-pan ka aangan bhi
bhatk rahi hai jahaan chashm-e-mo'tabar tanhaa

bura na maan mere hum-safar khuda ke liye
chalunga main bhi isee raah par magar tanhaa

na jaane bheegi hain palkein ye kyun dam-e-rukhsat
ki ghar mein bhi to raha hoon main umr-bhar tanhaa

na bazm-e-khalwatiyaan hai na hashr-gaah-e-awaam
andheri raat karoon kis tarah basar tanhaa

kisi ghazal ka koi she'r gungunaate chalen
taveel raahen wafa ki hain aur safar tanhaa

nisaar kar doon ye palkon pe kaanpati yaadein
tira khayal jo aaye dam-e-sehar tanhaa

jidhar bhi jaao koi raah rok leta hai
wafa ne chhodi nahin ek bhi dagar tanhaa

barat lo yaaro bartane ki cheez hai ye hayaat
ho laakh tarsi hui talkh-e-mukhtasar tanhaa

umeed kitni hi maayusiyon ki mash'al hai
ho rahguzar mein jaise koi shajar tanhaa

jidhar se guzre the ma'soom hasraton ke juloos
suna ki aaj hai zaidi wahi dagar tanhaa

हुजूम-ए-ऐश-ओ-तरब में भी है बशर तन्हा
नफ़स नफ़स है मुहाजिर नज़र नज़र तन्हा

ये मेरा अक्स है आईने में कि दुश्मन है
उदास तिश्ना-सितम दीदा-ए-बे-ख़बर तन्हा

ये क़त्ल-गाह भी है बाल-पन का आँगन भी
भटक रही है जहाँ चश्म-ए-मो'तबर तन्हा

बुरा न मान मिरे हम-सफ़र ख़ुदा के लिए
चलूँगा मैं भी इसी राह पर मगर तन्हा

न जाने भीगी हैं पलकें ये क्यूँ दम-ए-रुख़्सत
कि घर में भी तो रहा हूँ मैं उम्र-भर तन्हा

न बज़्म-ए-ख़लवतियाँ है न हश्र-गाह-ए-अवाम
अँधेरी रात करूँ किस तरह बसर तन्हा

किसी ग़ज़ल का कोई शे'र गुनगुनाते चलें
तवील राहें वफ़ा की हैं और सफ़र तन्हा

निसार कर दूँ ये पलकों पे काँपती यादें
तिरा ख़याल जो आए दम-ए-सहर तन्हा

जिधर भी जाओ कोई राह रोक लेता है
वफ़ा ने छोड़ी नहीं एक भी डगर तन्हा

बरत लो यारो बरतने की चीज़ है ये हयात
हो लाख तरसी हुई तल्ख़-ए-मुख़्तसर तन्हा

उमीद कितनी ही मायूसियों की मशअ'ल है
हो रहगुज़ार में जैसे कोई शजर तन्हा

जिधर से गुज़रे थे मा'सूम हसरतों के जुलूस
सुना कि आज है 'ज़ैदी' वही डगर तन्हा

- Ali Jawwad Zaidi
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari