gair poochen bhi to hum kya apna afsaana kahein | ग़ैर पूछें भी तो हम क्या अपना अफ़्साना कहें - Ali Jawwad Zaidi

gair poochen bhi to hum kya apna afsaana kahein
ab to hum vo hain jise apne bhi begaana kahein

vo bhi waqt aaya ki dil mein ye khayal aane laga
aaj un se hum gham-e-dauraan ka afsaana kahein

kya pukaare jaayenge hum aise deewane wahan
hosh-mandon ko bhi jis mehfil mein deewaana kahein

shab ke aakhir hote hote dono hi jab jal bujhe
kis ko samjhen sham-e-mahfil kis ko parwaana kahein

aur kuch kehna to gustaakhi hai shaan-e-sheikh mein
haan magar na-waaqif-e-aadaab-e-may-khaana kahein

aaj tanhaai mein phir aankhon se tapka hai lahu
jee ke bahaalne ko aao apna afsaana kahein

un se raunaq qatl-gah ki un se garmi bazm ki
kehne waale ahl-e-dil ko laakh deewaana kahein

hain bahm mauj-e-sharaab o sail-e-ashk o joo-e-khoon
laiq-e-sajda hai jis ko khaak-e-may-khaana kahein

un ki is cheen-e-jabeen ka kuch taqaza ho magar
kya gham-e-dil ki haqeeqat ko bhi afsaana kahein

ग़ैर पूछें भी तो हम क्या अपना अफ़्साना कहें
अब तो हम वो हैं जिसे अपने भी बेगाना कहें

वो भी वक़्त आया कि दिल में ये ख़याल आने लगा
आज उन से हम ग़म-ए-दौराँ का अफ़्साना कहें

क्या पुकारे जाएँगे हम ऐसे दीवाने वहाँ
होश-मंदों को भी जिस महफ़िल में दीवाना कहें

शब के आख़िर होते होते दोनों ही जब जल बुझे
किस को समझें शम-ए-महफ़िल किस को परवाना कहें

और कुछ कहना तो गुस्ताख़ी है शान-ए-शैख़ में
हाँ मगर ना-वाक़िफ़-ए-आदाब-ए-मय-ख़ाना कहें

आज तन्हाई में फिर आँखों से टपका है लहू
जी के बहलाने को आओ अपना अफ़्साना कहें

उन से रौनक़ क़त्ल-गह की उन से गर्मी बज़्म की
कहने वाले अहल-ए-दिल को लाख दीवाना कहें

हैं बहम मौज-ए-शराब ओ सैल-ए-अश्क ओ जू-ए-ख़ूँ
लाइक़-ए-सज्दा है जिस को ख़ाक-ए-मय-ख़ाना कहें

उन की इस चीन-ए-जबीं का कुछ तक़ाज़ा हो मगर
क्या ग़म-ए-दिल की हक़ीक़त को भी अफ़्साना कहें

- Ali Jawwad Zaidi
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari