hum-safar gum raaste na-paid ghabraata hoon main
ik biyaabaan dar biyaabaan hai jidhar jaata hoon main
bazm-e-fikr o hosh ho ya mahfil-e-aish-o-nishaat o nashaat
har jagah se chand nishtar chand gham laata hoon main
aa gai ai na-muraadi vo bhi manzil aa gai
mujh ko kya samjhaayenge vo un ko samjhaata hoon main
un ke lab par hai jo halke se tabassum ki jhalak
us mein apne aansuon ka soz bhi paata hoon main
shaam-e-tanhaai bujha de jhilmilaati sham'a bhi
in andheron mein hi akshar raushni paata hoon main
himmat-afza hai har ik uftaad raah-e-shauq ki
thokren khaata hoon girta hoon sambhal jaata hoon main
un ke daaman tak khud apna haath bhi badhta nahin
apna daaman ho to har kaante se uljhaata hoon main
shauq-e-manzil hum-safar hai jazba-e-dil raahbar
mujh pe khud bhi khul nahin paata kidhar jaata hoon main
हम-सफ़र गुम रास्ते ना-पैद घबराता हूँ मैं
इक बयाबाँ दर बयाबाँ है जिधर जाता हूँ मैं
बज़्म-ए-फ़िक्र ओ होश हो या महफ़िल-ए-ऐश ओ नशात
हर जगह से चंद निश्तर चंद ग़म लाता हूँ मैं
आ गई ऐ ना-मुरादी वो भी मंज़िल आ गई
मुझ को क्या समझाएँगे वो उन को समझाता हूँ मैं
उन के लब पर है जो हल्के से तबस्सुम की झलक
उस में अपने आँसुओं का सोज़ भी पाता हूँ मैं
शाम-ए-तन्हाई बुझा दे झिलमिलाती शम्अ भी
इन अंधेरों में ही अक्सर रौशनी पाता हूँ मैं
हिम्मत-अफ़ज़ा है हर इक उफ़्ताद राह-ए-शौक़ की
ठोकरें खाता हूँ गिरता हूँ सँभल जाता हूँ मैं
उन के दामन तक ख़ुद अपना हाथ भी बढ़ता नहीं
अपना दामन हो तो हर काँटे से उलझाता हूँ मैं
शौक़-ए-मंज़िल हम-सफ़र है जज़्बा-ए-दिल राहबर
मुझ पे ख़ुद भी खुल नहीं पाता किधर जाता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading Manzil Shayari Shayari