kitne dil toote hain duniya ka khabar hone tak | कितने दिल टूटे हैं दुनिया का ख़बर होने तक

  - Ali Jawwad Zaidi

kitne dil toote hain duniya ka khabar hone tak
kitne sar phoote hain deewaar mein dar hone tak

ek kaanta jo nikalta hai to sau chubhte hain
amn tha hausla-e-fikr-o-nazar hone tak

ham ne apne se bhi sau baar mohabbat ki hai
haan magar dil mein kisi shokh ka ghar hone tak

ab kahi raqs-e-junoon hai to kahi naghma-e-khoon
kitni sooni thi fazaa zer-o-zabar hone tak

aaj sunta hoon wahi naqsh-e-qadam choomte hain
jo bahut khush the mere shahr-badar hone tak

aankhon aankhon mein bhi kat jaaye to ham raazi hain
ye andhere hai bas ik raat basar hone tak

jab jhuls dega zamaana to na ummeed na yaas
shaakh ko khauf hai be-berg-o-samar hone tak

is qayamat ka jo poocho to koi naam nahin
ham pe jo beet gai tum ko khabar hone tak

ik kiran phootegi ik shokh hawa sankegi
isee ummeed mein jaage hain sehar hone tak

aur ik naara-e-mastaana ki mehfil jaage
aur ik jaam zamaane ko khabar hone tak

un ke honton pe vo ma'soom tabassum ki shaguft
shola-e-narm bani lams-e-nazar hone tak

meri barbaadi bhi ik hashr hai lekin zaidi
irtiqa raqs mein hai hashr-e-digar hone tak

कितने दिल टूटे हैं दुनिया का ख़बर होने तक
कितने सर फूटे हैं दीवार में दर होने तक

एक काँटा जो निकलता है तो सौ चुभते हैं
अम्न था हौसला-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र होने तक

हम ने अपने से भी सौ बार मोहब्बत की है
हाँ मगर दिल में किसी शोख़ का घर होने तक

अब कहीं रक़्स-ए-जुनूँ है तो कहीं नग़मा-ए-ख़ूँ
कितनी सूनी थी फ़ज़ा ज़ेर-ओ-ज़बर होने तक

आज सुनता हूँ वही नक़्श-ए-क़दम चूमते हैं
जो बहुत ख़ुश थे मिरे शहर-बदर होने तक

आँखों आँखों में भी कट जाए तो हम राज़ी हैं
ये अँधेरे है बस इक रात बसर होने तक

जब झुलस देगा ज़माना तो न उम्मीद न यास
शाख़ को ख़ौफ़ है बे-बर्ग-ओ-समर होने तक

इस क़यामत का जो पूछो तो कोई नाम नहीं
हम पे जो बीत गई तुम को ख़बर होने तक

इक किरन फूटेगी इक शोख़ हवा सनकेगी
इसी उम्मीद में जागे हैं सहर होने तक

और इक नारा-ए-मस्ताना कि महफ़िल जागे
और इक जाम ज़माने को ख़बर होने तक

उन के होंटों पे वो मा'सूम तबस्सुम की शगुफ़्त
शोला-ए-नर्म बनी लम्स-ए-नज़र होने तक

मेरी बर्बादी भी इक हश्र है लेकिन 'ज़ैदी'
इर्तिक़ा रक़्स में है हश्र-ए-दिगर होने तक

  - Ali Jawwad Zaidi

Good morning Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Good morning Shayari Shayari