jo maqsad giryaa-e-paiham ka hai vo ham samjhte hain | जो मक़्सद गिर्या-ए-पैहम का है वो हम समझते हैं

  - Ali Jawwad Zaidi

jo maqsad giryaa-e-paiham ka hai vo ham samjhte hain
magar jin ko samajhna chahiye tha kam samjhte hain

zara mere junoon ki kaavish-e-taameer to dekhen
jo bazm-e-zindagi ko darham o barham samjhte hain

un aankhon mein nahin nashtar khud apne dil mein pinhaan hai
ab itni baat to kuchh ham bhi ai hamdam samjhte hain

ye un ki meherbaani hai ye un ki izzat-afzaai
ki mere zakham ko vo laiq-e-marham samjhte hain

ham ahl-e-dil ne meyaar-e-mohabbat bhi badal dale
jo gham har fard ka gham hai usi ko gham samjhte hain

jhijakte se qadam bahki si nazrein rukti si baatein
ye andaaz-e-tajaahul vo hai jis ko ham samjhte hain

sulook-e-dost bhi hai ik ishaara tez-gaami ka
ham ahl-e-kaarwaan aanchal ko bhi parcham samjhte hain

hato ahl-e-khirad ahl-e-junoon ko jaane do aage
wahi kuchh raah-e-hasti ke ye pech o kham samjhte hain

palak se is tarah tapka ki goya ik kali chatki
ham ahl-e-dard ashk-e-gham ko bhi shabnam samjhte hain

khuloos-e-zaahiri rozaana ik mehfil sajaata hai
samjhte vo bhi hain lekin abhi kam kam samjhte hain

जो मक़्सद गिर्या-ए-पैहम का है वो हम समझते हैं
मगर जिन को समझना चाहिए था कम समझते हैं

ज़रा मेरे जुनूँ की काविश-ए-तामीर तो देखें
जो बज़्म-ए-ज़िंदगी को दरहम ओ बरहम समझते हैं

उन आँखों में नहीं नश्तर ख़ुद अपने दिल में पिन्हाँ है
अब इतनी बात तो कुछ हम भी ऐ हमदम समझते हैं

ये उन की मेहरबानी है ये उन की इज़्ज़त-अफ़ज़ाई
कि मेरे ज़ख़्म को वो लाइक़-ए-मरहम समझते हैं

हम अहल-ए-दिल ने मेयार-ए-मोहब्बत भी बदल डाले
जो ग़म हर फ़र्द का ग़म है उसी को ग़म समझते हैं

झिजकते से क़दम बहकी सी नज़रें रुकती सी बातें
ये अंदाज़-ए-तजाहुल वो है जिस को हम समझते हैं

सुलूक-ए-दोस्त भी है इक इशारा तेज़-गामी का
हम अहल-ए-कारवाँ आँचल को भी परचम समझते हैं

हटो अहल-ए-ख़िरद अहल-ए-जुनूँ को जाने दो आगे
वही कुछ राह-ए-हस्ती के ये पेच ओ ख़म समझते हैं

पलक से इस तरह टपका कि गोया इक कली चटकी
हम अहल-ए-दर्द अश्क-ए-ग़म को भी शबनम समझते हैं

ख़ुलूस-ए-ज़ाहिरी रोज़ाना इक महफ़िल सजाता है
समझते वो भी हैं लेकिन अभी कम कम समझते हैं

  - Ali Jawwad Zaidi

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari