zarra-e-na-taapeeda ki khwahish-e-aftaab kya | ज़र्रा-ए-ना-तापीदा की ख़्वाहिश-ए-आफ़ताब क्या

  - Ali Jawwad Zaidi

zarra-e-na-taapeeda ki khwahish-e-aftaab kya
naghma-e-na-shunida ka hausla-e-rabaab kya

umr ka dil hai muzmahil zeest hai dard-e-mustaqil
aise nizaam-e-dehr mein vaswasa-e-azaab kya

naghma b-lab hain kiyaariyaan raqs mein zarra-e-tapaan
sun liya kisht-e-khushk ne zamzama-e-sahaab kya

chehra-e-shab damak utha surkh shafaq jhalak uthi
waqt-e-tuluu kah gaya jaane aftaab kya

rindon se baaz-purs ki peer-e-mugaan se dil-lagi
aaj ye mohtasib ne bhi pee hai kahi sharaab kya

sham'a thi laakh adh-jali bazm mein raushni to thi
warna gham-e-nashaat mein roshni-e-gulaab kya

gair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin
kaun uthaaega tujhe dekh raha hai khwaab kya

muddaton se khalish jo thi jaise vo kam si ho chali
aaj mere sawaal ka mil hi gaya jawaab kya

haan tiri manzil-e-muraad door bahut hi door hai
phir bhi har ek mod par dil mein ye iztiraab kya

ज़र्रा-ए-ना-तापीदा की ख़्वाहिश-ए-आफ़ताब क्या
नग़्मा-ए-ना-शुनीदा का हौसला-ए-रबाब क्या

उम्र का दिल है मुज़्महिल ज़ीस्त है दर्द-ए-मुस्तक़िल
ऐसे निज़ाम-ए-दहर में वसवसा-ए-अज़ाब क्या

नग़्मा ब-लब हैं कियारियाँ रक़्स में ज़र्रा-ए-तपाँ
सुन लिया किश्त-ए-ख़ुश्क ने ज़मज़मा-ए-सहाब क्या

चेहरा-ए-शब दमक उठा सुर्ख़ शफ़क़ झलक उठी
वक़्त-ए-तुलू कह गया जाने आफ़्ताब क्या

रिंदों से बाज़-पुर्स की पीर-ए-मुग़ाँ से दिल-लगी
आज ये मोहतसिब ने भी पी है कहीं शराब क्या

शम्अ थी लाख अध-जली बज़्म में रौशनी तो थी
वर्ना ग़म-ए-नशात में रौशनी-ए-गुलाब क्या

ग़ैर की रह-गुज़र है ये दोस्त की रह-गुज़र नहीं
कौन उठाएगा तुझे देख रहा है ख़्वाब क्या

मुद्दतों से ख़लिश जो थी जैसे वो कम सी हो चली
आज मिरे सवाल का मिल ही गया जवाब क्या

हाँ तिरी मंज़िल-ए-मुराद दूर बहुत ही दूर है
फिर भी हर एक मोड़ पर दिल में ये इज़्तिराब क्या

  - Ali Jawwad Zaidi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari