khala-e-fikr ka ehsaas arz-e-fan se mila | ख़ला-ए-फ़िक्र का एहसास अर्ज़-ए-फ़न से मिला

  - Ali Jawwad Zaidi

khala-e-fikr ka ehsaas arz-e-fan se mila
barhangi mein naya lutf pairhan se mila

qadam qadam pe uge zakham-e-aarzoo bhi hazaar
hazaar rang-e-tamaasha bhi is chaman se mila

badha ke haath kahi uljhane hi cheen na len
vo jaam bhi jo mujhe shaam-e-anjuman se mila

sehar ko be-khili kaliyon mein dhoondhti hai kiran
jo lutf-e-jalwa lajaai hui dulhan se mila

usi ke sog mein baitha hua hoon muddat se
jo ek zakham rafeeqaan-e-ham-watan se mila

guroor-e-khush-nazari naazish-e-aqeeda-o-rang
hazaar rog usi zoom-e-ma-o-man se mila

hujoom-e-yaas mein tahzeeb-e-nafs ka aahang
tiri hi narm-khiraami ke baankpan se mila

vo hausla jo nayi raah ki talash mein hai
gali gali mein bhatkati hui kiran se mila

har ek haal mein jeene ka jagmagane ka shauq
andheri shab mein sitaaron ki anjuman se mila

ishaara fikr ko mahmej hashr-parvar ka
khata mua'af ho tere hi baankpan se mila

ab is shu'ur ko mahsoor-e-zaat kaise karoon
shu'ur zaat ki zaidi bade jatan se mila

ख़ला-ए-फ़िक्र का एहसास अर्ज़-ए-फ़न से मिला
बरहनगी में नया लुत्फ़ पैरहन से मिला

क़दम क़दम पे उगे ज़ख़्म-ए-आरज़ू भी हज़ार
हज़ार रंग-ए-तमाशा भी इस चमन से मिला

बढ़ा के हाथ कहीं उलझनें ही छीन न लें
वो जाम भी जो मुझे शाम-ए-अंजुमन से मिला

सहर को बे-खिली कलियों में ढूँढती है किरन
जो लुत्फ़-ए-जल्वा लजाई हुई दुल्हन से मिला

उसी के सोग में बैठा हुआ हूँ मुद्दत से
जो एक ज़ख़्म रफ़ीक़ान-ए-हम-वतन से मिला

गुरूर-ए-ख़ुश-नज़री नाज़िश-ए-अक़ीदा-ओ-रंग
हज़ार रोग उसी ज़ोम-ए-मा-ओ-मन से मिला

हुजूम-ए-यास में तहज़ीब-ए-नफ़्स का आहंग
तिरी ही नर्म-ख़िरामी के बाँकपन से मिला

वो हौसला जो नई राह की तलाश में है
गली गली में भटकती हुई किरन से मिला

हर एक हाल में जीने का जगमगाने का शौक़
अँधेरी शब में सितारों की अंजुमन से मिला

इशारा फ़िक्र को महमेज़ हश्र-परवर का
ख़ता मुआ'फ़ हो तेरे ही बाँकपन से मिला

अब इस शुऊ'र को महसूर-ए-ज़ात कैसे करूँ
शुऊ'र ज़ात कि 'ज़ैदी' बड़े जतन से मिला

  - Ali Jawwad Zaidi

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari