go wasi'a sehra mein ik haqeer zarra hoon | गो वसीअ' सहरा में इक हक़ीर ज़र्रा हूँ - Ali Jawwad Zaidi

go wasi'a sehra mein ik haqeer zarra hoon
rah-ravi mein sarsar hoon raqs mein bagoola hoon

har samudra-manthan se zahar hi nikalta hai
main ye zahar jeevan ka hans ke pee bhi saka hoon

ye bhari-puri dharti ik anant mela hai
aur saare mele mein jaise main akela hoon

yun to phool fabta hai har haseen jode par
jis ne chun liya mujh ko main usi ka bela hoon

kal har ek jalwe mein laakh jalwe paida the
main ki tha tamaashaai aaj khud tamasha hoon

zindagi ke raston par zakham-khurda deewaana
kah raha tha zaidi se main bhi aap jaisa hoon

गो वसीअ' सहरा में इक हक़ीर ज़र्रा हूँ
रह-रवी में सरसर हूँ रक़्स में बगूला हूँ

हर समुद्र-मंथन से ज़हर ही निकलता है
मैं ये ज़हर जीवन का हँस के पी भी सकता हूँ

ये भरी-पुरी धरती इक अनंत मेला है
और सारे मेले में जैसे मैं अकेला हूँ

यूँ तो फूल फबता है हर हसीन जोड़े पर
जिस ने चुन लिया मुझ को मैं उसी का बेला हूँ

कल हर एक जल्वे में लाख जल्वे पैदा थे
मैं कि था तमाशाई आज ख़ुद तमाशा हूँ

ज़िंदगी के रस्तों पर ज़ख़्म-ख़ुर्दा दीवाना
कह रहा था 'ज़ैदी' से मैं भी आप जैसा हूँ

- Ali Jawwad Zaidi
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari