shikwe ham apni zabaan par kabhi laaye to nahin
haan magar ashk jab umde the chhupaaye to nahin
teri mehfil ke bhi aadaab ki dil darta hai
meri aankhon ne durr-e-ashk lutaaye to nahin
chaan li khaak biyaabaanon ki veeraanon ki
phir bhi andaaz-e-junoon aql ne paaye to nahin
laakh pur-vahshat o pur-haul sahi shaam-e-firaq
ham ne ghabra ke diye din se jalaae to nahin
ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki vo
na bulaaye na sahi dil se bhulaaye to nahin
hijr ki raat ye har doobte taare ne kaha
ham na kahte the na aayenge vo aaye to nahin
inqilaab aate hain rahte hain jahaan mein lekin
jo banaane ka na ho ahl mitaaye to nahin
apni is shokhi-e-raftaar ka anjaam na soch
fitne khud uthne lage tu ne uthaaye to nahin
शिकवे हम अपनी ज़बाँ पर कभी लाए तो नहीं
हाँ मगर अश्क जब उमडे थे छुपाए तो नहीं
तेरी महफ़िल के भी आदाब कि दिल डरता है
मेरी आँखों ने दुर्र-ए-अश्क लुटाए तो नहीं
छान ली ख़ाक बयाबानों की वीरानों की
फिर भी अंदाज़-ए-जुनूँ अक़्ल ने पाए तो नहीं
लाख पुर-वहशत ओ पुर-हौल सही शाम-ए-फ़िराक़
हम ने घबरा के दिए दिन से जलाए तो नहीं
अब तो इस बात पे भी सुल्ह सी कर ली है कि वो
न बुलाए न सही दिल से भुलाए तो नहीं
हिज्र की रात ये हर डूबते तारे ने कहा
हम न कहते थे न आएँगे वो आए तो नहीं
इंक़िलाब आते हैं रहते हैं जहाँ में लेकिन
जो बनाने का न हो अहल मिटाए तो नहीं
अपनी इस शोख़ी-ए-रफ़्तार का अंजाम न सोच
फ़ित्ने ख़ुद उठने लगे तू ने उठाए तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading One sided love Shayari Shayari