neend aa gai thi manzil-e-irfaan se guzar ke | नींद आ गई थी मंज़िल-ए-इरफ़ाँ से गुज़र के

  - Ali Jawwad Zaidi

neend aa gai thi manzil-e-irfaan se guzar ke
chaunke hain ham ab sarhad-e-isyaan se guzar ke

aankhon mein liye jalwa-e-nairang-e-tamaasha
aayi hai khizaan jashn-e-bahaaraan se guzar ke

yaadon ke jawaan qafile aate hi rahenge
sarma ke isee barg-e-pur-afshaan se guzar ke

kaanton ko bhi ab baad-e-saba chhed rahi hai
phoolon ke haseen chaak garebaan se guzar ke

vehshat ki nayi raahguzar dhoondh rahe hain
ham ahl-e-junoon dasht o biyaabaan se guzar ke

ban jaayega taara kisi mayus khala mein
ye ashk-e-sehar gosha-e-daamaan se guzar ke

aawaaragi-e-fikr kidhar le ke chali hai
sar-manzil-e-aazaadi-e-insaan se guzar ke

paai hai nigaahon ne tiri bazm-e-tamannaa
raaton ko chinaaron ke charaaghaan se guzar ke

ik gardish-e-chashm-e-karam ik mauj-e-nazaara
kal shab ko mili gardish-e-dauraan se guzar ke

milne ko to mil jaaye magar lega bhala kaun
saahil ka sukoon shorish-e-toofan se guzar ke

ik nishtar-e-gham aur sahi ai gham-e-manzil
aa dekh to ik roz rag-e-jaan se guzar ke

ab dard mein vo kaifiyat-e-dard nahin hai
aaya hoon jo us bazm-e-gul-afshaan se guzar ke

नींद आ गई थी मंज़िल-ए-इरफ़ाँ से गुज़र के
चौंके हैं हम अब सरहद-ए-इसयाँ से गुज़र के

आँखों में लिए जल्वा-ए-नैरंग-ए-तमाशा
आई है ख़िज़ाँ जश्न-ए-बहाराँ से गुज़र के

यादों के जवाँ क़ाफ़िले आते ही रहेंगे
सरमा के इसी बर्ग-ए-पुर-अफ़्शाँ से गुज़र के

काँटों को भी अब बाद-ए-सबा छेड़ रही है
फूलों के हसीं चाक गरेबाँ से गुज़र के

वहशत की नई राहगुज़र ढूँढ रहे हैं
हम अहल-ए-जुनूँ दश्त ओ बयाबाँ से गुज़र के

बन जाएगा तारा किसी मायूस ख़ला में
ये अश्क-ए-सहर गोशा-ए-दामाँ से गुज़र के

आवारगी-ए-फ़िक्र किधर ले के चली है
सर-मंज़िल-ए-आज़ादी-ए-इंसान से गुज़र के

पाई है निगाहों ने तिरी बज़्म-ए-तमन्ना
रातों को चिनारों के चराग़ाँ से गुज़र के

इक गर्दिश-ए-चश्म-ए-करम इक मौज-ए-नज़ारा
कल शब को मिली गर्दिश-ए-दौराँ से गुज़र के

मिलने को तो मिल जाए मगर लेगा भला कौन
साहिल का सुकूँ शोरिश-ए-तूफ़ाँ से गुज़र के

इक निश्तर-ए-ग़म और सही ऐ ग़म-ए-मंज़िल
आ देख तो इक रोज़ रग-ए-जाँ से गुज़र के

अब दर्द में वो कैफ़ियत-ए-दर्द नहीं है
आया हूँ जो उस बज़्म-ए-गुल-अफ़्शाँ से गुज़र के

  - Ali Jawwad Zaidi

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari