gulon ki chaah mein tauheen-e-berg-o-baar na kar
bhare chaman mein ye saamaan-e-intishaar na kar
khizaan riyaaz-e-chaman hai khizaan gudaaz-e-chaman
khizaan ka dar ho to phir khwahish-e-bahaar na kar
bas ek dil hai yahan waaqif-e-nasheb-o-faraz
wafa ki raah mein rahbar ka intizaar na kar
hujoom-e-gham mein tabassum ka khel dekh liya
main kah raha tha mere gham ka e'tibaar na kar
kaha ye ishq se daar-o-salib-e-zindaan ne
majaal ho to meri raah ikhtiyaar na kar
ye taaza taaza qafas kya khizaan se kuchh kam hain
hujoom-e-gul hi se andaaza-e-bahaar na kar
naseem-e-subh unhen muskuraa to lene de
abhi gulon se koi zikr-e-naagawar na kar
udhar har ek nazar mein hai hasraton ka juloos
idhar ye hukm-e-hayaa hai nigaahen chaar na kar
ye poochna hai kisi din janaab-e-'zaidi se
ki aap ne to kaha tha kisi se pyaar na kar
गुलों की चाह में तौहीन-ए-बर्ग-ओ-बार न कर
भरे चमन में ये सामान-ए-इंतिशार न कर
ख़िज़ाँ रियाज़-ए-चमन है ख़िज़ाँ गुदाज़-ए-चमन
ख़िज़ाँ का डर हो तो फिर ख़्वाहिश-ए-बहार न कर
बस एक दिल है यहाँ वाक़िफ़-ए-नशेब-ओ-फ़राज़
वफ़ा की राह में रहबर का इंतिज़ार न कर
हुजूम-ए-ग़म में तबस्सुम का खेल देख लिया
मैं कह रहा था मिरे ग़म का ए'तिबार न कर
कहा ये इश्क़ से दार-ओ-सलीब-ए-ज़िंदाँ ने
मजाल हो तो मिरी राह इख़्तियार न कर
ये ताज़ा ताज़ा क़फ़स क्या ख़िज़ाँ से कुछ कम हैं
हुजूम-ए-गुल ही से अंदाज़ा-ए-बहार न कर
नसीम-ए-सुब्ह उन्हें मुस्कुरा तो लेने दे
अभी गुलों से कोई ज़िक्र-ए-नागवार न कर
उधर हर एक नज़र में है हसरतों का जुलूस
इधर ये हुक्म-ए-हया है निगाहें चार न कर
ये पूछना है किसी दिन जनाब-ए-'ज़ैदी' से
कि आप ने तो कहा था किसी से प्यार न कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi
our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari