jawaani hareef-e-sitam hai to kya gham | जवानी हरीफ़-ए-सितम है तो क्या ग़म

  - Ali Jawwad Zaidi

jawaani hareef-e-sitam hai to kya gham
taghayyur hi agla qadam hai to kya gham

har ik shay hai faani to ye gham bhi faani
meri aankh gar aaj nam hai to kya gham

mere haath suljhaa hi lenge kisi din
abhi zulf-e-hasti mein kham hai to kya gham

khushi kuchh tire hi liye to nahin hai
agar haq mera aaj kam hai to kya gham

mere khun paseene se gulshan banenge
tire bas mein abr-e-karam hai to kya gham

mera kaarwaan badh raha hai badhega
agar rukh pe gard-e-alam hai to kya gham

ye maana ki rahbar nahin hai misaali
magar apne seene mein dam hai to kya gham

mera kaarwaan aap rahbar hai apna
ye sheeraza jab tak bahm hai to kya gham

tire paas tabal o alam hain to honge
mere paas zor-e-qalam hai to kya gham

जवानी हरीफ़-ए-सितम है तो क्या ग़म
तग़य्युर ही अगला क़दम है तो क्या ग़म

हर इक शय है फ़ानी तो ये ग़म भी फ़ानी
मिरी आँख गर आज नम है तो क्या ग़म

मिरे हाथ सुलझा ही लेंगे किसी दिन
अभी ज़ुल्फ़-ए-हस्ती में ख़म है तो क्या ग़म

ख़ुशी कुछ तिरे ही लिए तो नहीं है
अगर हक़ मिरा आज कम है तो क्या ग़म

मिरे ख़ूँ पसीने से गुलशन बनेंगे
तिरे बस में अब्र-ए-करम है तो क्या ग़म

मिरा कारवाँ बढ़ रहा है बढ़ेगा
अगर रुख़ पे गर्द-ए-अलम है तो क्या ग़म

ये माना कि रहबर नहीं है मिसाली
मगर अपने सीने में दम है तो क्या ग़म

मिरा कारवाँ आप रहबर है अपना
ये शीराज़ा जब तक बहम है तो क्या ग़म

तिरे पास तबल ओ अलम हैं तो होंगे
मिरे पास ज़ोर-ए-क़लम है तो क्या ग़म

  - Ali Jawwad Zaidi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Jawwad Zaidi

As you were reading Shayari by Ali Jawwad Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Ali Jawwad Zaidi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari