kitni aashaon ki laashein sookhe dil ke aangan mein | कितनी आशाओं की लाशें सूखें दिल के आँगन में - Ali Sardar Jafri

kitni aashaon ki laashein sookhe dil ke aangan mein
kitne suraj doob gaye hain chehron ke peele-pan mein

bacchon ke meethe honton par pyaas ki sookhi ret jamee
doodh ki dhaarein gaaye ke than se gir gaeein naagon ke fan mein

registaanon mein jalte hain pade hue sau naqsh-e-qadam par
aaj khiraamaan koi nahin hai ummeedon ke gulshan mein

chakna-choor hua khwaabon ka dilkash dilchasp aaina
tedhi tirchi tasveerein hain toote-phoote darpan mein

paa-e-junoon mein padi hui hain hirs-o-hawaa ki zanjeeren
qaid hai ab tak haath sehar ka taarikee ke kangan mein

aankhon ki kuch nauras kaliyaan neem-shagufta ghuncha-e-lab
kaise kaise phool bhare hain gulcheenon ke daaman mein

dast-e-ghaib ki tarah chhupa hai zulm ka haath sitam ka vaar
khushk lahu ki baarish dekhi hum ne koocha-o-barzan mein

कितनी आशाओं की लाशें सूखें दिल के आँगन में
कितने सूरज डूब गए हैं चेहरों के पीले-पन में

बच्चों के मीठे होंटों पर प्यास की सूखी रेत जमी
दूध की धारें गाए के थन से गिर गईं नागों के फन में

रेगिस्तानों में जलते हैं पड़े हुए सौ नक़्श-ए-क़दम पर
आज ख़िरामाँ कोई नहीं है उम्मीदों के गुलशन में

चकना-चूर हुआ ख़्वाबों का दिलकश दिलचस्प आईना
टेढ़ी तिरछी तस्वीरें हैं टूटे-फूटे दर्पन में

पा-ए-जुनूँ में पड़ी हुई हैं हिर्स-ओ-हवा की ज़ंजीरें
क़ैद है अब तक हाथ सहर का तारीकी के कंगन में

आँखों की कुछ नौरस कलियाँ नीम-शगुफ़्ता ग़ुंचा-ए-लब
कैसे कैसे फूल भरे हैं गुल्चीनों के दामन में

दस्त-ए-ग़ैब की तरह छुपा है ज़ुल्म का हाथ सितम का वार
ख़ुश्क लहू की बारिश देखी हम ने कूचा-ओ-बर्ज़न में

- Ali Sardar Jafri
1 Like

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari