watan se door yaaraan-e-watan ki yaad aati hai | वतन से दूर यारान-ए-वतन की याद आती है

  - Ali Sardar Jafri

watan se door yaaraan-e-watan ki yaad aati hai
qafas mein hum-nawaayaan-e-chaman ki yaad aati hai

ye kaisa zulm hai phir saaya-e-deewaar-e-zindaan mein
watan ke saaya-e-sarv-o-saman ki yaad aati hai

tasavvur jis se rangeen hai takhayyul jis se raksaan hai
ghazal-e-hind-o-aahoo-e-khutan ki yaad aati hai

kabhi laila-o-sheereen gaah heer-o-sohni ban kar
niraale yaar ki baanke sajan ki yaad aati hai

kahaan ka khauf-e-zindaan dehshat-e-daar-o-rasan kaisi
qad-e-maashooq-o-zulf-e-pur-shikan ki yaad aati hai

वतन से दूर यारान-ए-वतन की याद आती है
क़फ़स में हम-नवायान-ए-चमन की याद आती है

ये कैसा ज़ुल्म है फिर साया-ए-दीवार-ए-ज़िन्दाँ में
वतन के साया-ए-सर्व-ओ-समन की याद आती है

तसव्वुर जिस से रंगीं है तख़य्युल जिस से रक़्साँ है
ग़ज़ाल-ए-हिंद-ओ-आहू-ए-ख़ुतन की याद आती है

कभी लैला-ओ-शीरीं गाह हीर-ओ-सोहनी बन कर
निराले यार की बाँके सजन की याद आती है

कहाँ का ख़ौफ़-ए-ज़िन्दाँ दहशत-ए-दार-ओ-रसन कैसी
क़द-ए-माशूक-ओ-ज़ुल्फ़-ए-पुर-शिकन की याद आती है

  - Ali Sardar Jafri

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ali Sardar Jafri

As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Ali Sardar Jafri

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari