naala hai bulbul-e-shoreeda tira khaam abhi
apne seene mein ise aur zara thaam abhi
pukhta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql
ishq ho maslahat-andesh to hai khaam abhi
be-khatr kood pada aatish-e-namrood mein ishq
aql hai mahv-e-tamaasha-e-lab-e-baam abhi
ishq farmooda-e-qaasid se subuk-gaam-e-amal
aql samjhi hi nahin m'ani-e-paighaam abhi
shewa-e-ishq hai aazaadi o dahar-aashebi
tu hai zunnaari-e-but-khaana-e-ayyaam abhi
uzr-e-parhez pe kehta hai bigad kar saaqi
hai tire dil mein wahi kaavish-e-anjaam abhi
saii-e-paiham hai tarazoo-kam-o-kaif-e-hayaat
teri mizaan hai shumaar-e-sehr-o-shaam abhi
abr-e-naisaan ye tunuk-bakhshi-e-shabnam kab tak
mere kohsaar ke laale hain tahee-jaam abhi
baada-gardaan-e-ajm vo arabee meri sharaab
mere saaghar se jhijakte hain may-aashaam abhi
khabar iqbaal ki laai hai gulistaan se naseem
nau-giraftaar fadakta hai tah-e-daam abhi
नाला है बुलबुल-ए-शोरीदा तिरा ख़ाम अभी
अपने सीने में इसे और ज़रा थाम अभी
पुख़्ता होती है अगर मस्लहत-अंदेश हो अक़्ल
इश्क़ हो मस्लहत-अंदेश तो है ख़ाम अभी
बे-ख़तर कूद पड़ा आतिश-ए-नमरूद में इश्क़
अक़्ल है महव-ए-तमाशा-ए-लब-ए-बाम अभी
इश्क़ फ़र्मूदा-ए-क़ासिद से सुबुक-गाम-ए-अमल
अक़्ल समझी ही नहीं म'अनी-ए-पैग़ाम अभी
शेवा-ए-इश्क़ है आज़ादी ओ दहर-आशेबी
तू है ज़ुन्नारी-ए-बुत-ख़ाना-ए-अय्याम अभी
उज़्र-ए-परहेज़ पे कहता है बिगड़ कर साक़ी
है तिरे दिल में वही काविश-ए-अंजाम अभी
सई-ए-पैहम है तराज़ू-कम-ओ-कैफ़-ए-हयात
तेरी मीज़ाँ है शुमार-ए-सहर-ओ-शाम अभी
अब्र-ए-नैसाँ ये तुनुक-बख़्शी-ए-शबनम कब तक
मेरे कोहसार के लाले हैं तही-जाम अभी
बादा-गर्दान-ए-अजम वो अरबी मेरी शराब
मिरे साग़र से झिजकते हैं मय-आशाम अभी
ख़बर 'इक़बाल' की लाई है गुलिस्ताँ से नसीम
नौ-गिरफ़्तार फड़कता है तह-ए-दाम अभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Allama Iqbal
our suggestion based on Allama Iqbal
As you were reading Ulfat Shayari Shayari