aql go aastaan se door nahin | अक़्ल गो आस्ताँ से दूर नहीं

  - Allama Iqbal

aql go aastaan se door nahin
us ki taqdeer mein huzoor nahin

dil-e-beena bhi kar khuda se talab
aankh ka noor dil ka noor nahin

ilm mein bhi suroor hai lekin
ye vo jannat hai jis mein hoor nahin

kya gazab hai ki is zamaane mein
ek bhi sahib-e-suroor. nahin

ik junoon hai ki baa-shuoor bhi hai
ik junoon hai ki baa-shuoor nahin

na-suboori hai zindagi dil ki
aah vo dil ki na-suboor nahin

be-huzoori hai teri maut ka raaz
zinda ho tu to be-huzoor nahin

har guhar ne sadaf ko tod diya
tu hi aamada-e-zuhoor nahin

arini main bhi kah raha hoon magar
ye hadees-e-kaleem-o-toor nahin

अक़्ल गो आस्ताँ से दूर नहीं
उस की तक़दीर में हुज़ूर नहीं

दिल-ए-बीना भी कर ख़ुदा से तलब
आँख का नूर दिल का नूर नहीं

इल्म में भी सुरूर है लेकिन
ये वो जन्नत है जिस में हूर नहीं

क्या ग़ज़ब है कि इस ज़माने में
एक भी साहब-ए-सुरूर नहीं

इक जुनूँ है कि बा-शुऊर भी है
इक जुनूँ है कि बा-शुऊर नहीं

ना-सुबूरी है ज़िंदगी दिल की
आह वो दिल कि ना-सुबूर नहीं

बे-हुज़ूरी है तेरी मौत का राज़
ज़िंदा हो तू तो बे-हुज़ूर नहीं

हर गुहर ने सदफ़ को तोड़ दिया
तू ही आमादा-ए-ज़ुहूर नहीं

अरिनी मैं भी कह रहा हूँ मगर
ये हदीस-ए-कलीम-ओ-तूर नहीं

  - Allama Iqbal

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari