sakhtiyan karta hoon dil par gair se ghaafil hoon main | सख़्तियाँ करता हूँ दिल पर ग़ैर से ग़ाफ़िल हूँ मैं

  - Allama Iqbal

sakhtiyan karta hoon dil par gair se ghaafil hoon main
haaye kya achhi kahi zalim hoon main jaahil hoon main

main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairaai na thi
jo numood-e-haq se mit jaata hai vo baatil hoon main

ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-b-dast
waaye mehroomi khazaf chain lab saahil hoon main

hai meri zillat hi kuchh meri sharaafat ki daleel
jis ki ghaflat ko malak rote hain vo ghaafil hoon main

bazm-e-hasti apni aaraish pe tu naazaan na ho
tu to ik tasveer hai mehfil ki aur mehfil hoon main

dhoondhta firta hoon main iqbaal apne-aap ko
aap hi goya musaafir aap hi manzil hoon main

सख़्तियाँ करता हूँ दिल पर ग़ैर से ग़ाफ़िल हूँ मैं
हाए क्या अच्छी कही ज़ालिम हूँ मैं जाहिल हूँ मैं

मैं जभी तक था कि तेरी जल्वा-पैराई न थी
जो नुमूद-ए-हक़ से मिट जाता है वो बातिल हूँ मैं

इल्म के दरिया से निकले ग़ोता-ज़न गौहर-ब-दस्त
वाए महरूमी ख़ज़फ़ चैन लब साहिल हूँ मैं

है मिरी ज़िल्लत ही कुछ मेरी शराफ़त की दलील
जिस की ग़फ़लत को मलक रोते हैं वो ग़ाफ़िल हूँ मैं

बज़्म-ए-हस्ती अपनी आराइश पे तू नाज़ाँ न हो
तू तो इक तस्वीर है महफ़िल की और महफ़िल हूँ मैं

ढूँढता फिरता हूँ मैं 'इक़बाल' अपने-आप को
आप ही गोया मुसाफ़िर आप ही मंज़िल हूँ मैं

  - Allama Iqbal

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari