har shay musaafir har cheez raahi | हर शय मुसाफ़िर हर चीज़ राही

  - Allama Iqbal

har shay musaafir har cheez raahi
kya chaand taare kya murgh o maahi

tu mard-e-maidaan tu meer-e-lashkar
noori huzoori tere sipaahi

kuchh qadr apni tu ne na jaani
ye be-swaadi ye kam-nigaahi

duniya-e-doo ki kab tak ghulaami
ya rahebi kar ya paadshaahi

peer-e-haram ko dekha hai main ne
kirdaar-e-be-soz guftaar waahi

हर शय मुसाफ़िर हर चीज़ राही
क्या चाँद तारे क्या मुर्ग़ ओ माही

तू मर्द-ए-मैदाँ तू मीर-ए-लश्कर
नूरी हुज़ूरी तेरे सिपाही

कुछ क़द्र अपनी तू ने न जानी
ये बे-सवादी ये कम-निगाही

दुनिया-ए-दूँ की कब तक ग़ुलामी
या राहेबी कर या पादशाही

पीर-ए-हरम को देखा है मैं ने
किरदार-ए-बे-सोज़ गुफ़्तार वाही

  - Allama Iqbal

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari