lab pe aati hai dua ban ke tamannaa meri | लब पे आती है दुआ बन के तमन्ना मेरी - Allama Iqbal

lab pe aati hai dua ban ke tamannaa meri
zindagi shamaaki soorat ho khudaaya meri
door duniya ka mere dam se andhera ho jaaye
har jagah mere chamakne se ujaala ho jaaye
ho mere dam se yoonhi mere watan ki zeenat

jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat
zindagi ho meri parwaane ki soorat ya-rab
ilm ki shamase ho mujh ko mohabbat ya-rab
ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna
mere allah buraai se bachaana mujh ko
nek jo raah ho us rah pe chalaana mujh ko

लब पे आती है दुआ बन के तमन्ना मेरी
ज़िंदगी शमाकी सूरत हो ख़ुदाया मेरी!
दूर दुनिया का मिरे दम से अंधेरा हो जाए!
हर जगह मेरे चमकने से उजाला हो जाए!
हो मिरे दम से यूंही मेरे वतन की ज़ीनत

जिस तरह फूल से होती है चमन की ज़ीनत
ज़िंदगी हो मिरी परवाने की सूरत या-रब
इल्म की शमासे हो मुझ को मोहब्बत या-रब
हो मिरा काम ग़रीबों की हिमायत करना
दर्द-मंदों से ज़ईफ़ों से मोहब्बत करना
मिरे अल्लाह! बुराई से बचाना मुझ को
नेक जो राह हो उस रह पे चलाना मुझ को

- Allama Iqbal
29 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari