koi mehram nahin milta jahaan mein
mujhe kehna hai kuchh apni zabaan mein
qafas mein jee nahin lagta kisi tarah
laga do aag koi aashiyaan mein
koi din bul-hawas bhi shaad ho len
dhara kya hai ishaaraat-e-nihaan mein
kahi anjaam aa pahuncha wafa ka
ghula jaata hoon ab ke imtihaan mein
naya hai leejie jab naam us ka
bahut wusa'at hai meri dastaan mein
dil-e-pur-dard se kuchh kaam loonga
agar furqat mili mujh ko jahaan mein
bahut jee khush hua haali se mil kar
abhi kuchh log baaki hain jahaan mein
कोई महरम नहीं मिलता जहाँ में
मुझे कहना है कुछ अपनी ज़बाँ में
क़फ़स में जी नहीं लगता किसी तरह
लगा दो आग कोई आशियाँ में
कोई दिन बुल-हवस भी शाद हो लें
धरा क्या है इशारात-ए-निहाँ में
कहीं अंजाम आ पहुँचा वफ़ा का
घुला जाता हूँ अब के इम्तिहाँ में
नया है लीजिए जब नाम उस का
बहुत वुसअ'त है मेरी दास्ताँ में
दिल-ए-पुर-दर्द से कुछ काम लूँगा
अगर फ़ुर्सत मिली मुझ को जहाँ में
बहुत जी ख़ुश हुआ 'हाली' से मिल कर
अभी कुछ लोग बाक़ी हैं जहाँ में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali
our suggestion based on Altaf Hussain Hali
As you were reading Wafa Shayari Shayari