main to main gair ko marne se ab inkaar nahin | मैं तो मैं ग़ैर को मरने से अब इंकार नहीं

  - Altaf Hussain Hali

main to main gair ko marne se ab inkaar nahin
ik qayamat hai tire haath mein talwaar nahin

kuchh pata manzil-e-maqsood ka paaya ham ne
jab ye jaana ki hamein taqat-e-raftaar nahin

chashm-e-bad-door bahut firte hain aghyaar ke saath
ghairat-e-ishq se ab tak vo khabar-daar nahin

ho chuka naaz uthaane mein hai go kaam tamaam
lillahil-hamd ki baaham koi takraar nahin

muddaton rashk ne aghyaar se milne na diya
dil ne aakhir ye diya hukm ki kuchh aar nahin

asl maqsood ka har cheez mein milta hai pata
warna ham aur kisi shay ke talabgaar nahin

baat jo dil mein chhupaate nahin banti haali
sakht mushkil hai ki vo qaabil-e-izhaar nahin

मैं तो मैं ग़ैर को मरने से अब इंकार नहीं
इक क़यामत है तिरे हाथ में तलवार नहीं

कुछ पता मंज़िल-ए-मक़्सूद का पाया हम ने
जब ये जाना कि हमें ताक़त-ए-रफ़्तार नहीं

चश्म-ए-बद-दूर बहुत फिरते हैं अग़्यार के साथ
ग़ैरत-ए-इश्क़ से अब तक वो ख़बर-दार नहीं

हो चुका नाज़ उठाने में है गो काम तमाम
लिल्लाहिल-हम्द कि बाहम कोई तकरार नहीं

मुद्दतों रश्क ने अग़्यार से मिलने न दिया
दिल ने आख़िर ये दिया हुक्म कि कुछ आर नहीं

अस्ल मक़्सूद का हर चीज़ में मिलता है पता
वर्ना हम और किसी शय के तलबगार नहीं

बात जो दिल में छुपाते नहीं बनती 'हाली'
सख़्त मुश्किल है कि वो क़ाबिल-ए-इज़हार नहीं

  - Altaf Hussain Hali

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Hussain Hali

As you were reading Shayari by Altaf Hussain Hali

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Hussain Hali

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari