aah duniya sara-e-faani hai | आह दुनिया सरा-ए-फ़ानी है

  - Altaf Mashhadi

aah duniya sara-e-faani hai
kis qadar mukhtasar kahaani hai

khud ko deta hoon muskuraa ke fareb
dil magar waqf-e-nauha-khwaani hai

mujh se hans-bol len mere saathi
ab koi din ki zindagaani hai

mausam-e-gul mein vo jo aan milen
ham bhi jaanen ki rut suhaani hai

be-sabab to nahin bahe aansu
aansu aansu mein ik kahaani hai

ik saraapa ki ranj-o-yaas hain ham
dard-e-dil monis-e-jawaani hai

muskuraau'n main kis tarah altaaf
taak mein daur-e-aasmaani hai

आह दुनिया सरा-ए-फ़ानी है
किस क़दर मुख़्तसर कहानी है

ख़ुद को देता हूँ मुस्कुरा के फ़रेब
दिल मगर वक़्फ़-ए-नौहा-ख़्वानी है

मुझ से हंस-बोल लें मिरे साथी
अब कोई दिन की ज़िंदगानी है

मौसम-ए-गुल में वो जो आन मिलें
हम भी जानें कि रुत सुहानी है

बे-सबब तो नहीं बहे आँसू
आँसू आँसू में इक कहानी है

इक सरापा कि रंज-ओ-यास हैं हम
दर्द-ए-दिल मोनिस-ए-जवानी है

मुस्कुराऊँ मैं किस तरह 'अलताफ़'
ताक में दौर-ए-आसमानी है

  - Altaf Mashhadi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Mashhadi

As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Mashhadi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari