nigah-e-mast mein kya rang-e-waalihaana tha
suroor-o-kaif mein dooba hua zamaana tha
kisi ki uthati jawaani ka jab zamaana tha
meri nigaah ka har fe'l sha'iraana tha
sitam-naseeb ki allah re sokhta bakhti
hai bijliyon ka nasheeman jo aashiyana tha
azal se qaid-e-anaasir ata hui mujh ko
mere naseeb mein zindaan ka aab-o-daana tha
wufoor-e-dard se jab hichakiyaan si aane lagin
har ek zakham ke lab par mera fasana tha
shuroo-e-ishq mein kya meri shaay'ri thi na pooch
falak pe murgh-e-takhayyul ka aashiyana tha
watan mein hazrat-e-'altaaf zindagi apni
bahaar khuld-e-mohabbat ka ik fasana tha
निगाह-ए-मस्त में क्या रंग-ए-वालिहाना था
सुरूर-ओ-कैफ़ में डूबा हुआ ज़माना था
किसी की उठती जवानी का जब ज़माना था
मिरी निगाह का हर फ़े'ल शाइ'राना था
सितम-नसीब की अल्लाह रे सोख़्ता बख़्ती
है बिजलियों का नशेमन जो आशियाना था
अज़ल से क़ैद-ए-अनासिर अता हुई मुझ को
मिरे नसीब में ज़िंदाँ का आब-ओ-दाना था
वुफ़ूर-ए-दर्द से जब हिचकियाँ सी आने लगीं
हर एक ज़ख़्म के लब पर मिरा फ़साना था
शुरू-ए-इश्क़ में क्या मेरी शाइ'री थी न पूछ
फ़लक पे मुर्ग़-ए-तख़य्युल का आशियाना था
वतन में हज़रत-ए-'अलताफ़' ज़िंदगी अपनी
बहार ख़ुल्द-ए-मोहब्बत का इक फ़साना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Jawani Shayari Shayari