kaun utara nazar ke zeene se
mehfil-e-dil saji qareene se
shaikh-saahib mujhe aqeedat hai
gungunaate hue maheene se
may ko gul-rang kar diya kis ne
khoon le kar kali ke seene se
koi saahil na nakhuda apna
ham to maanoos hain safeene se
kis ka ejaz hai ki rindon ko
chain milta hai aag peene se
pee ke jeete hain jee ke peete hain
ham ko raghbat hai aise jeene se
may ki taqdees ka jawaab kahaan
daagh dhulte hain dil ke peene se
haaye altaaf vo uroos-e-bahaar
jhaankti hai jo aabgeene se
कौन उतरा नज़र के ज़ीने से
महफ़िल-ए-दिल सजी क़रीने से
शैख़-साहिब मुझे अक़ीदत है
गुनगुनाते हुए महीने से
मय को गुल-रंग कर दिया किस ने
ख़ून ले कर कली के सीने से
कोई साहिल न नाख़ुदा अपना
हम तो मानूस हैं सफ़ीने से
किस का एजाज़ है कि रिंदों को
चैन मिलता है आग पीने से
पी के जीते हैं जी के पीते हैं
हम को रग़बत है ऐसे जीने से
मय कि तक़्दीस का जवाब कहाँ
दाग़ धुलते हैं दिल के पीने से
हाए 'अलताफ़' वो उरूस-ए-बहार
झाँकती है जो आबगीने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Sukoon Shayari Shayari