leta hua hoon saaya-e-ghurbat mein ghar se door | लेटा हुआ हूँ साया-ए-ग़ुर्बत में घर से दूर

  - Altaf Mashhadi

leta hua hoon saaya-e-ghurbat mein ghar se door
dil se qareen hain ahl-e-watan aur nazar se door

jab tak hai dil raheen-e-maal-o-aseer-e-aql
rahna hai tujh se aur tiri raahguzaar se door

ai kaif un ki mast nigaahon mein chhup ke aa
ai dard-e-dam zadan mein ho mere jigar se door

ik din ulatne waali hai zaahid bisaat-e-zohd
kab tak rahega dil nigah-e-fitna-gar se door

vo koi zindagi hai jawaani hai vo koi
ai dost jo hai tere jamaal-e-nazar se door

kya aayi tere jee mein ki taqdeer yun mujhe
fenka hai la ke vaadi-e-ghurbat mein ghar se door

ai husn-e-be-panaah bataaye koi mujhe
duniya ki kaun cheez hai tere asar se door

allah re naseeb ki paai hai vo fugaan
jo umr bhar rahi hai fareb-e-asar se door

altaaf naaz apni gadaai pe hai mujhe
daaman hai us ka saaya-e-laal-o-guhar se door

लेटा हुआ हूँ साया-ए-ग़ुर्बत में घर से दूर
दिल से क़रीं हैं अहल-ए-वतन और नज़र से दूर

जब तक है दिल रहीन-ए-मआल-ओ-असीर-ए-अक़्ल
रहना है तुझ से और तिरी रहगुज़र से दूर

ऐ कैफ़ उन की मस्त निगाहों में छुप के आ
ऐ दर्द-ए-दम ज़दन में हो मेरे जिगर से दूर

इक दिन उलटने वाली है ज़ाहिद बिसात-ए-ज़ोहद
कब तक रहेगा दिल निगह-ए-फ़ित्ना-गर से दूर

वो कोई ज़िंदगी है जवानी है वो कोई
ऐ दोस्त जो है तेरे जमाल-ए-नज़र से दूर

क्या आई तेरे जी में कि तक़दीर यूँ मुझे
फेंका है ला के वादी-ए-ग़ुर्बत में घर से दूर

ऐ हुस्न-ए-बे-पनाह बताए कोई मुझे
दुनिया की कौन चीज़ है तेरे असर से दूर

अल्लाह रे नसीब कि पाई है वो फ़ुग़ाँ
जो उम्र भर रही है फ़रेब-ए-असर से दूर

'अलताफ़' नाज़ अपनी गदाई पे है मुझे
दामन है उस का साया-ए-लाल-ओ-गुहर से दूर

  - Altaf Mashhadi

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Altaf Mashhadi

As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi

Similar Writers

our suggestion based on Altaf Mashhadi

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari