bahr-e-hasti koi saraab nahin
zindagi zindagi hai khwaab nahin
aah insaan jis ki aankhon par
apna anjaam be-naqaab nahin
ek khursheed-rukh ki zulfon ka
raat ke paas kuchh jawaab nahin
zindagi dard se hui mahroom
mai-kada hai magar sharaab nahin
mutarib-e-waqt tere haathon mein
kyun hai talwaar aur rabaab nahin
aadmi aadmi ka raaziq hai
nazm-e-aalam magar kharab nahin
haaye altaaf vo hazeen raatein
jin ki qismat mein mahtaab nahin
बहर-ए-हस्ती कोई सराब नहीं
ज़िंदगी ज़िंदगी है ख़्वाब नहीं
आह इंसान जिस की आँखों पर
अपना अंजाम बे-नक़ाब नहीं
एक ख़ुर्शीद-रुख़ की ज़ुल्फ़ों का
रात के पास कुछ जवाब नहीं
ज़िंदगी दर्द से हुई महरूम
मै-कदा है मगर शराब नहीं
मुतरिब-ए-वक़्त तेरे हाथों में
क्यों है तलवार और रबाब नहीं
आदमी आदमी का राज़िक़ है
नज़्म-ए-आलम मगर ख़राब नहीं
हाए 'अलताफ़' वो हज़ीं रातें
जिन की क़िस्मत में माहताब नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Altaf Mashhadi
our suggestion based on Altaf Mashhadi
As you were reading Aah Shayari Shayari